jahan dukh ki samajh na thi,

jahan bas muskurahat thi,

baharain hi baharain thin,

chalo phir dhoond lain ham,

usi masoom bachpan ko,

k jab saawan barasta tha,

to us kaghaz ki kashti ko,

banana aur dabo dena,

bohat acha sa lagta tha,

aur is dunya ka har chehra,

boht sacha sa lagta tha,

Chalo phir dhoond lete hain,

Usi masoom bachpan ko!

M@X