Hoti hai tere naam se vehshat kabhi-kabhi

barham huee hai yoon bhi tabiyat kabhi-kabhi

ae dil kise naseeb ye taufeeq-e-iztiraab

milti hai zindagi mein ye raahat kabhi-kabhi

tere karam se ae alam-e-husn-e-aafreen

dil ban gaya hai dost ki khilwat kabhi-kabhi

josh-e-junoon mein dard ki tugyaaniyon ke saath

ashkon mein dhal gaee teri soorat kabhi-kabhi

tere qareeb reh ke bhi dil mutmaeen na tha

guzri hai mujh pe ye bhi qayaamat kabhi-kabhi

kuch apna hosh tha na tumhara khayaal tha

yoon bhi guzar gaee shab-e-furqat kabhi-kabhi

ae dost hamne tarq-e-mohabbat ke baawajood

mehsoos ki hai teri zaroorat kabhi-kabhi.