Hamara ye tum ko salam aakhri hai

Suno aaj tum se kalaam aakhri hai

Agar ho sake tu bhula dena

Yehi ik chota sa kaam aakhri hai

Abhi aarzoun k sehra pyase hain

Magar aansoun ka jaam aakhri hai

Teri bewafai ka ye shikwa aakhri hai

Yehi tu wafaon ka inaam aakhri hai

Zara dair thehro qaza k farishto

Labon pe humara pyaam aakhri hai

Koi na mil sake ga tujhe mere jaisa

Teri adaon ka ye ghulam aakhri hai…!!!