gham k marun k sisaknay ka samaan dekha ha,

dard insan k pehlu main jwan dekha ha,

dard or dukh to milay mil na saka dil ko sukoon,

dil k har parday main ek gham ko nihaan dekha ha,

gulshan aabad tah e daam e sayadaan hi raha,

har jaga bulbuloon ko mehv e fighaan dekha ha,

pinhaan rehti hi nahi aatish e ulfat ki tapash,

Quais o Farhad k jalnay ka dhuwaan dekha ha,

kis qadar zulm ha insaan ka insaan k sath,

waqt ki ankh se ashkoon ko rawaan dekha ha,

jis k ajanay se ai ASAD teray hosh uray,

yad tak bhi na raha is ko kahan dekha ha,