Eik Ghazal Tere Liyee Zaroor Likhonga

Be-Hisab Uss Mei’n Tera Qusoor Likhonga

Tuu GuFtaar ka MaHir Tuu Kirdaar Ka MaHir

Par Husn Ko Tere Tera Ghuroor Likhonga

Toot Gaye Bachpan Ke Tere Saray Khilonay

Abb Diloo’n Se Khelna Tera Dastoor Likhonga

Raha ishQ Ka Dawwa Tujhey Tamam Umer

Wafa Ki Dehleez Se Tujhe Mafroor Likhonga

Khud Sakhta Joo Hai Tera Judai Ka Faisla

Aese Har iQdaam Ko Naa-Manzoor Likhonga

Humay Kehne Ki Addat Nahi Likhne Ka Shoq Hai

Jazboon ko Apne Qalam Ki Taseer Likhonga

Tera Wajood Mera Wajood Mujhe Eik Sa Laggay

Par Tujhey Mei’n Khud Se Bohot Do’ur Likhonga

Eik Ghazal Tere Liyee Zaroor Likhonga

Be-Hisab Uss Mei’n Tera Qusoor Likhonga