dayam para hua tere dar par nahi hun main

khak aisi zindagi pe k paththar nahi hun main

kyun gardish-e-mudam se ghabra na jaye dil

insan hun, pyala-o-sagar nahi hun main

yarab! zamana mujh ko mitata hai kis liye

lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hun main

had chahiye saza mein uqubat k waste

akhir gunahgar hun, kafir nahi hun main

kis waste aziz nahi jante mujhe

lal-o-zumarud-o-zar-o-gauhar nahi hun main

rakhte ho tum qadam meri ankhon se kyun dareg

rutbe mein mahr-o-mah se kamtar nahi hun main

karte ho mujhko mana-e-qadambos kis liye

kya asman k bhi barabar nahi hun main

‘ghalib’ wazifakhwar ho, do shah ko dua

wo din gaye ki kahte the ‘naukar nahi hun main’