be-sabab daaman bhigonaa aa gayaa

baat karte karte ronaa aa gayaa

kheltaa rahtaa hai mere dil se vo

haath meN uske khilaunaa aa gayaa

baiThe baiThe uTh ke chal dete haiN ham

ishq meN betaab honaa aa gayaa

dar-ba-dar hone ka yah inaam hai

har kisii ke dar pe sonaa aa gayaa

usko paanaa thaa magar paayaa nahiiN

ye huaa ki khud ko khonaa aa gayaa

aaNsuoN meN Dhal gayaa dil ka lahuu

is lahuu se muNh dhonaa bhii aa gayaa

jab chhuaa uskaa badan to yuuN lagaa

haath meN miTTii ke sonaa aa gayaa

chaaNd saa chehraa, sitaare baal meN

raat ko motii pironaa aa gayaa

lahlahaa uThii haiN fasleN sher kii

Ashk tum ko biij bonaa aa gayaa