Barf key koh zeyhnee, pighaltey nahin!

Baatinee aatishoun deep jaltey nahin!

Baarhaa hamney jaa dar pai dee haaziree;

Aap, par, ghar sey baahar nikaltey nahin!

Ham kisee aur sey, apnee kaisey kaheyn?

Ham kisee aur saanchey mein dhhaltey nahin!

Ham ko mouzuun hai taahashra raah-e-talab;

Deykh kar rukh hawaa kaa, badaltey nahin!

Aap ko kyaa huaa hai, hamain kyaa patah:

Dour-e-tanhaayi dushwaar, khaltey nahin?

Qaid ho kin hadeedee hijaaboun mein tum?

Shaam ko, baam par bhee tahaltey nahin!!

Jazbah-e-ishq key qaafiley khalwatee,

Kyoun wisaal-e-sanam ko machaltey nahin?

Lab rangoon dil kee surkhee sey farmaaou to,

Kyoun, raah-e-jannat pai chaltey nahin?