Apna Usay Banaana Gar Mere Bas Mein Hota

Laot Aata, Laot Aana Gar Mere Bas Mein Hota,

Aankhun Mein Unki Jaata Surat Badal Badal Kar

Khawabun Mein Aana Jaana, Mere Bas Mein Hota

Chehre Ko Muskurahat Se Main Sjaaye Rakhta

Aye Yaar! Muskuraana Agar Mere Bas Mein Hota,

Duniya Se Khatam Kar Kay Rakh Deta Ranjh-o-Gham Ko

Bazm-e-Turb Sajaana Agar Mere Bas Mein Hota,

Qadmon Mein Un Kay Laa Kay Taare Bakher Deta

Taaron Ko Tor Laana Gar Mere Bas Mein Hota,

Laata Na Naam Bhi Main Us Bewafa ka Lab Par

‘Shahzad’ Ko Bhulana Gar Mere Bas Mein Hota.