Ai na phir nazar kahi jane kidhar gai

un tak to sath gardish-e-sham-o-sahar gai

kuch itna besabat tha har jalwa-e-hayat

laot ai zakhm kha ke jidhar bhi nazar gai

aa dekh mujh se roothne wale tere bagair

din bhi guzar gaya meri shab bhi guzar gai

nadim hai apne apne qarinoo pe har nazar

duniya lahoo uchal ke kitni nikhar gai