ab to yahii hain dil kii duaayen

bhuulane waale bhuul hi jaayen

wajah-e-sitam kuchh ho to bataayen

ek mohabbat, laakh Khataayen

dard-e-mohabbat, dil men chhupaayaa

aaNkh ke aaNsuu kaiise chhupaayen

hosh aur un kii diid kaa daawaa

dekhanewaalen, hosh men aayen

dil ki tabaahii bhuule nahiin ham

dete hain ab tak unko du’aayen

rang-e-zamaanaa dekhanewaale

un kii nazar bhii dekhate jaayen

shuGl-e-mohabbat ab hai ye ‘Taskiin’

sher kahen aur jii bahalaayen