ab aayen yaa na aayen idhar puuchhate chalo

kyaa chaahatii hai un kii nazar puuchhate chalo

ham se agar hai tark-e-ta’alluq to kyaa huaa

yaaro koii to un kii Khbabar puuchhate chalo

jo Khud ko kah rahe hain ki manzil shanaas hain

un ko bhii kyaa Khabar hai magar puuchhate chalo

kis manzil-e-muraad kii jaanib ravaan hain ham

ai rah-ravaan-e-Khaak-ba-sar puuchhate chalo