aansuon aankh ki dehleez pe aaya na karo….

ghar ke haalaat zamaane ko bataya na karo…

log muthhi meiN namak le ke phira kerte haiN….

zakhm tum apne ki$i ko bhi dikhaya na karo…

$aaNp KHu$hbu ke ahaate meiN ba$a kerte haiN….

phool ke peRoN ko aangan meiN lagaya na karo…

haathh aaye u$i lumhe ko GHaneemat jano….

apni palkoN pe koi KHwab $ajaaya na karo…

yaa$ ki tapti hui ret meiN jalne do mujhe….

aa$ ke badlo $ir pe mere aaya na karo…

aaj ke daur ka paiGHam yahi hai taalib~…

koi gir jaaye to bhoole $e uthhaya na karo…..