Tarapate Hain Na Rote Hain Na Ham Fariyaad Karate Hain
Sanam Kii Yaad Main Har Dam Khudaa Ko Yaad Karate Hain
Unhiin Ke Ishq Main Ham Naalaa-O-Fariyaad Karate Hain
Ilaahii Dekhiye Kis Din Hamain Vo Yaad Karate Hain
Shab-E-Furqat Main Kyaa Kyaa Saanp Laharaate Hain Siine Par
Tumhaarii Kaakul-E-Pechaan Ko Jab Ham Yaad Karate Hain
Poetry SMS
Poetry SMS
Aye dil khuda ki zaat pe tu
Aye dil khuda ki zaat pe, tu aitebaar rakh
paiwasta rah shajar se umeed e bahaar rakh
mai dagmaga ke doob na jaoN unhi mai phir
ankhoN ke sagharoN mai na itna khumaar rakh
lagta hai dar, ke tujh se zamaana na cheenle
Mujhko chupa ke khaana e dil mai tu yaar rakh
lamhoN ko qaid karle aur batoN ko kar raqam
jo ho sake to khushioN ki har yaadgaar rakh
mai kar chuki hoN tujhse to iqraar pyaar ka
izhaar kar ke khud bhi mera aitebaaar rakh
RaaheiN bahut kathin haiN ‘shumaila’ ye pyaar ki
qabu mai dil ko rakh ,magar itna na yaar rakh !!!
Kaatil par aitbaar kiya hai kabhi yun
Kaatil par aitbaar kiya hai kabhi kabhi
Yun khud ko bekraar kiya hai kabhi kabhi
Apne chiraag auron ke ghar mein jala diye
Yun roshini se pyar kiya hai kabhi kabhi
Humse junoon-e-ishq ka aalam na poochiye
apna hi intzaar kiya hai kabhi kabhi
Na haaraa hai ishq duniyaa thakii
na haaraa hai ishq na duniyaa thakii hai
diyaa jal rahaa hai havaa chal rahii hai
sukuun hii sukuun hai Khushii hii Khushii hai
teraa Gam salaamat mujhe kyaa kamii hai
charaaGon ke badale makaaN jal rahe hain
nayaa hai zamaanaa naii raushanii hai
are o jafaaon pe chup rahane vaalo
Khaamoshii jafaaon kii taaiid bhii hai
mere rahbar mujh ko gumraah kar de
sunaa hai ki manzil qariib aa gaii hai
‘Khumar’ ek baalaanosh tuu aur taubaa
tujhe zaahidon kii nazar lag gaii hai
Har waqt muskurana fitrat hai aap yuhin
Har waqt muskurana fitrat hai aap yuhin khush rahain
Yeh hamari hasrat hai aap ko hum yaad aayen yah na aayen
Aap ko karna hamari aadat hai.
Kaash koi taqdeer se puche q bicharte
Kaash koi taqdeer se puche q bicharte hen log
jin ki yadain jin ki batain bn jati hen dil k rog..
Dar e yaar ko chhorna aasaan nhi
Dar e Yaar ko chhorna Aasaan Nhi Hota.
Dilber dooor jana Aasaan nhi hota.
Her Aankh chahti he Soorat Mahboob ki.
Bina Deedar k loatna Aasaan nahi hota.
hoti he Shehr e jana se Umeede barri,
toot jae Umeed to banana Aasaan nhi hota.
koocha e yaar me milta he Sukoon dil ko,
‘UDASS’
har roz tarpna Aasaan nhi hota.
Har tarah k jazbat ka elan hain
Har Tarah K Jazbat Ka Elan Hain Ankhen.
Shabnam Kabi Shola Kabi Tufaan Hain Ankhen.
Ankhon Se Bari Koi Tarazu Nai Hoti.
Tulta Hai Bashar Jis Mai Wo Mezan Hain Ankhen.
Ankhen Hi Milati Hain Zamanay Mai Dilon Ko.
Anjan Hain Hum Tum, Agr Anjan Hain Ankhen.
Lab Kuch B Kahen Is Se Haqiqat Nai Khulti.
Insan K Sach Jhot Ki Pehchan Hain Ankhen.
Ankhen Na Jhuken Teri Kisi Ghair K Agay.
Dunia Mai Bari Cheez Meri Jaan! Hain Ankhen
Magroor hi sahi mjhe acha bht laga
Magroor hi sahi mjhe acha bht laga
Wo ajnbi tha magar apna bht laga
Rutha hua tha hans to dya mujh ko dekh kr
Mjhko to is kadar b dil zabt unhen waqt kahan hy
Wo ponche meri ankh se behtey hue aansu
Æ rang-e-barsat unhen waqt kahan hy
Bhule se hi wo puchne aa jaen haal mdra
Æ gardish-e-halat unhen waqt kahan hy
Mojon me tarapta hua me doob rha hu Faraz
Thamen wo mera hath unhen waqt kahan hy.
Dekhe the humne bhi khawab suhane kisi
Dekhe the humne bhi khawab suhane,
kisi par hue the hum bhi deewane.
Chaha jab gairon ne haath thaam liya,
teri baahon mein guzre woh din the suhane.
Laakh chhudao daaman chhuda na paoge,
pawan ki tarah hum dil ke hain mastane.
Jo dil se na bhulaye jaaye woh yaad reh jaate hain,
aaj hum gair sahi kal nahin the anjaane.
Humne mohabbat karke yun daaman jalaa liya,
jaise shama par mar mit-te hain parwane.
Aaj tak teri bewafai ko samajh na paaya,
aap hue bewafa sochta hoon kyun na jaane.
Zara tehar jao chaman pe aa pari
ZARA TEHAR JAO…
Chaman Pe Aa Pari Hai,
Zara Thahar Jao…
Saba Udas Khari Hai,
Zara Thahar Jao…
Suabato Ke Safar Par
Na Youn Rawana Ho,
Abhi To Dhoop Kari Hai,
Zara Tehar Jao…
Bikhar Gai Hain Wo Zulfein,
Udas Chehre Par Judiyon Ki Ghari Hai,
Zara Tehar Jao…
Abhi To Chand Ke Chahre Ka Noor Hai Taza,
Abhi To Raat Pari Hai,
Zara Tehar Jao…
Abhi To Subuha Ka Tara Nazar Nahi Aaya,
Abhi To Raat Bari Hai,
Zara Tehar Jao….
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
Ab k hum bichry to shaid kabhi
Ab K Hum Bichry To Shaid Kabhi Khwabon Main Milain,
Jis Tarah Sokhy Huy Phool Kitaboon Main Milain .
Dhond Ujry Huy Logon Main Wafa K Moti,
Ye Khazany Tujhy Mumkin Hy Khraboon Main Milain .
Gham-E-Dunia B Gham-E-Yar Main Shamil Kar Lo !
Nashaa Barhta Hy Sharabain Jo Sharaboon Main Milain .
Tu KHUDA Hy Na Mera Ishq FRISHTOON Jaisa,
Donoon Insan Hain To Kyon Itny Hijaboon Main Milain ..
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
Sham hi kuch sogawar si thaki
sham hi
kuch sogawar si
thaki thaki khoi khoi
dhal rahi hi rat mi
sahill say sir patakti moji bhi
issi sham ko
alwadaya geet sona rahi hin
har sham ki tarha
yeh sham bhi
tomharay intazar ki shamai bujha kar
shab ki chadar urh rahi hi
sehar ka phir bhi intazar hi
go ki yeh sham bar hi
dil kiyun ye manta nahi
kia wo yeh janta nahi
sogawar yeh jo sham hi
ik baywafa ki nam hi
Intizaar har sitaare ke duruukhshaan haath
intizaar…
har sitaare ke duruuKhshaaN haath men
haNsataa thaa sannaaTe kaa phuul
ek dam aahaT huii
phuul kii ek ek pattii TuuT kar girane lagii
gir rahii hain pattiyaaN…
aane vaale kii musalsal aahaTen
der se mujh ko sunaaii de rahii hain is tarah
ab mere paas tak pahuNchane ke liye
‘Bani’ hai goyaa do qadam kaa faasalaa
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
Subh ke dard ko raaton kii jalan
subh ke dard ko raaton kii jalan ko
bhuulen
kisake ghar jaayeN ki us vaadaa-shikanko
bhuulen
aaj tak choT dabaaye nahiin dabatii dil kii
kis tarah us sanam-e-sang_badan ko
bhuulen
ab sivaa isake madaavaa-e-Gam-e-dil
kyaa hai
itanii pii jaayeN ki har ranj-o-mehan ko bhuulen
aur tahaziib-e-gam-e-ishq nibaah de
kuchh din
aaKhirii vaqt men kyaa apane chalan ko
bhuulen
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
Main kisi aur ka hun itna bata
Main Kisi Aur Ka Hun Itna Bata Kar Roya
Vo Mujhe Mehndi Lagay Hath Dikha Kar Roya
Mujhe Anjaam E Mohabbat Nahi Mäloom Hargiz
Ye Kaha Aur Mujhe Seenay Se Laga Kar Roya
Jo Mujhe Zabt Ki Talqeen Kiya Karta Tha
Vo Zamänay Ko Mera Haal Suna Kar Roya
Aansu Ban Kar Nikal Na Jaun KahiN, Is Dar Se
Apne AshkoN Ko Vo AankhoN Mein Chhupa Kar Roya
Wasl Ka Aakhri Lamha Jo Muyassar Tha HameN
Usi Lamhay Mein Vo SadiyoN Ko Sama Kar Roya.
Patt jharr se hai gila na shikayat hawaa
Patt-jharr se hai gila na shikayat hawaa se hai
Phuulon ko kuchh ajeeb mohabat hawa se hai
Sarshaarii-e-shaguftgii gul ko kyaa khabar
Mansoob ek aur hikaayat hawaa se hai
Rakha hai aandhiiyon ne hii ham ko kashiida sar
Ham wo charaagh hain jinhain nisbat hawaa se hai
Uss ghar main tergii ke sivaa kyaa rahe jahaan
Dil shama par hain aur iraadat hawaa se hai
Bas koii cheez hai ke sulagtii hai dil ke paas
Ye aag wo nahiin jise suhubat hawaa se hai
Gulcheen ko hii kharaam saba se nahi hai khaar
Ab ke to baaghbaan ko adaawat hawaa se hai
Khushbuu hii rang bhartii hai tasveer baagh main
Bazm-e-khabar main gul kii siyaadat hawaa se hai
Dast-e-shajar main rakhe ke aa kar bikhair de
Aaiin-e-gul main khaas riaayat hawaa se hai
Ab ke bahaar dekhiye kyaa gul khilaye gii
Dildaadgaan-e-rang ko waheshat hawaa se hai
nafas ko dard se hasil firaagh
*’* Nafas Ko Dard Se Hasil Firaagh Hona Tha,
*’* Ubalti Maay Thi Shikasta Ayam Hona Tha,
*’* Jahan Jahan Se Guzarna Tha Teri Khushbu ko,
*’* Rawish Rawish Ko Wahan Bagha Bagh Hona Tha.
Aey chand usey kehna wo jo
aey chand usey kehna
wo jo bht dour basta hey
usey koe yd krta hey
or behisab krta hey
usey kehna
jb wo kisi aur k sung hansta hey
to phr dour bht dour
kisi ka dil dharakta hey
or
jb wo udas hota hey
pas us k na koe ghumshinas hota hey
to phr dour bht dour
kisi ki ankhun se pani barasta hey
aey chand usey kehna
wo aj bhi tere ass pass basta hey
Safha e waqt per tehreer badal jati hai
Safha-e-waqt per tehreer badal jati hai
Ayat-e-hijer ki tafseer badal jati hai
Aisa aik waqt bhi ata hai meri neend per jab
Khawab se pehley hi taabeer badal jati hai
Ab to har lamha mera Qaid mein kat jata hai
Farq sirf itna hai zanjeer badal jati hai
Waqt har baat ko mehfooz to kar leta hai
Han magar baat ki taa’seer badal jati hai
Parhta rehta hon mein haathon ki lakeerein yun bhi
Mein ye sunta tha k taqdeer badal jati hai..!
M.F.B
Woh aksar apnay kaam main magan baithay
Woh Aksar Apnay Kaam Main Magan…
Baithay Baithay Mujhay Sochnay Lagta Hai…
Woh Sari Baatain Yaad Aati Hain Us Ko…
Woh Subhain , Woh Shamain…
Wohi Zindagi Ki Musafatain…
Jinhain Gin Gin Kay Guzara Kartay Thay…
Phir Jab…
Haqeeqaton Main Wapis Lout-Ta Hai…
To Muskura Daita Hai…
Aur Sar Jhatak Kay Kehta Hai…
PaGLi!!!!!!!
Jane kab ye tanha dil tumhara ho
Jane kab ye tanha dil tumhara ho gaya
Zindagi me khusiyo ka nazara ho gaya
Kal tak tapti dhup se lagti thi ye zindagi
Tere sath se badla hua har nazara ho gaya.
Meri ankhein hui nam lekar teri judai
meri ankhein hui nam
lekar teri judai ke gham,
is gham ko chhupana chahta hun,
kitna dard bhara hai ceene mei,
yeh batana chahta hun,
apni nam ankho se
behete hue ansuo ka samandar banana chahta hun,
teri yaado se jeevan ko harana chahta hun,
jo chingari uthi hai dil mein pyaar ki ,
use apne ansuoo se bhujana chahta hun ,
lekar teri judai ka gham
apne har gham ko chhupana chahta hun ……
Jeetay hain to koi haal tak nahi
‘Jeetay’ Hain To Koi ‘Haal’ Tak Nahi Puchhta ‘JOGHI’~,
‘Martay’ Hain To Duniya ‘Kandhon’ Pe ‘Utha’ Leti Hai…
Wasi shah apna hissa shumar krta
=WASI SHAH=
Apna Hissa shumar krta tha
Wo Mujhse itna pyaar krta tha,
Wo Banata tha Meri Tasveerain
Phr un se Baatein Hazaar krta tha,
Mera Dukh B khaloos-e-Neeyyat se
Apne Dukhon mein Shumaar krta tha,
Such Samjhta tha Jhoot B mera,
Yun Woh Mera Aitbaar Krta tha,
Jab B Rota tha Main Raat ki Tanhaiyon mei
Wo apne AANCHAL se mere Chahray ko Saaf krta tha,
Aj Sochta hon to Aankhein bheegh jati hain
Wo Shakhs Mjhse kitna Pyar krta tha
Dayaardayaar e gair men koii jahaan na apanaa ho
dayaardayaar-e-Gair men koii jahaan na apanaa ho
shadiid karb kii ghaDiyaaN guzaar chukane par
kuchh ittefaaq ho aisaa ki ek shaam kahiin
kisii ek aisii jagah se ho yuuN hii meraa guzar
jahaaN hujuum-e-gurezaaN men tum nazar aa jaao
aur ek ek ko hairat se dekhataa rahe
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
Hum itne udas na the tere nam
Hum itne udas na the tere nam se pehle
Dua dete the hum tujhe har kalam se pehle
Is qabil to na the ke aap hamien gawara karte
Phir bhi tera nam likhte the apne nam
se pehle
Tera hi tasawar hai in ashk bhari ankhon mein
Yaad karte hain tujhe har kam se pehle
Pata hota ke pyar mein is qadar dard hai
To marne ki dua karte tere deedar se pehle..
Teray pyar ne diya sukoon itna
Teray pyar ne diya sukoon itna…
K tere baad koi acha na lagay…
Tujhay karni hai bewafai, to is ada se kar
K tere baad koi bewafa na lagay
Uss ki hatheyli par merey aanso
USS KI HATHEYLI PAR MEREY AANSO
KITNEY ACHEY LAGHTEY HAI
JAISEY SUBHAH SAVEREY KANWAL KI PANKRRIAH
SHABNAM SEY JAGMAG KARTHI HON
TAB AISEY MEY KHUSHBOO DHEEREY DHEEREY
TAN MEY PHEHLNI HEY
AUR SHABNAM PHOOL K RANG MEY AAKHIR
RANG JAATI HEY
TAB NANHEY CHIRAAGHOH KI LAO BHARRTHI HEY
TOU USS KA CHEHRA PEHLEY SEY BHARRH KAR
ROSHAN LAGHNEY LAGHTA HEY
USS KI AANKHOH MEY MEREY
AANSOO,KITNEY ACHEY LAGHTEY
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
Yeh lerki to ph0ol se mukhtalif he
Yeh Lerki to ph0ol se mukhtalif he
Aadhi mohabbat mere saamney,
Aur
Aadhi mohabbat mujhse chhup ker kerti he
Aadhi raat ko Aadhey Chaand se
Baatain kerti rehti he
Woh batain. .
Jo mujhse kerte Uskey Hont Aur uski Saansain Ruk jaati hain
Uski Palkain Jhuk jati hain
Aadhi Raat ko Takiye K neeche
Rakhi meri tasveer ko dekhti rehti he
Phir Khud se sharma ker
Takiye mai m0nh chhupa ker
Dair tak Hansti hy.
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
Wo aye hain mehfil main magr khusi
Wo aye hain Mehfil main magr khusi se nahin,
Wo baithe hain hamare paas magr dil se nahin,
Kon kehta hai wo PYAR nahin karte,
Karte tu hain magr HUM se nahin
Shah Rukh
shahrukh_swl@yahoo.com
Dil mein umeedo ki shamma jala rakhi
Dil mein umeedo ki shamma jala rakhi hai,
Humne apni alag duniya basa rakhi hai,
Is umeed ke saath ki ayega phone aapka,
Humne mobile par nazrein jama rakhi hein.
Dil men larzaan hy tera sholaerukhsar ab
Dil Men Larzaan Hy Tera Shola_E_Rukhsar Ab Tak,
Meri Manzil Men Nhi Raat K Asaar Ab Tak,
Phool Murjha Gay Guldan Bhi Gir Kar Toota,
Kaisi Khushboo Men Basy Hain Dar_O_Deewar Ab Tak,
Hasrat_E_Daar Nihan Hy Mery Dil Men Shayad,
Yaad Aati Hy Mje Qeemat_E_ Dildaar Ab Tak,
Woh Ujaly Ka Koi Seel_E_Rawan Tha Kya Tha,
Meri Aankhon Men Hy Ek Sa’at_E_Deedar Ab Tak,
Teesha_E_Gham Se Hui Rooh To Tukrry Tukrry,
Kun Salamat Hy Mery Jism Ki Deewar Ab Tak…?
Na to phool khilte hyn na mosam
Na to phool khilte hyn na mosam hi badaltay hyn,
Wahaan to kuch nhi hota jahan par Tum nhi hote,
Yahan wese to her soghat Aasani se milti hy,
Par mera Dil nhi lagta jahan par Tum nhi hote,
Yahan to log sadiyon ko bhi lamhoon main badalte hyn,
Mera ek pal nhi kt’ta jahan par Tum nhi hote,
Sabab ronay ka Wo pochain to Qasid itna keh dena,
Mujhe hasna nhi aata jahan par Tum nhi hote
Her cheez tumhari luta di hum
HER CHEEZ TUMHARI LUTA DI,
HUM LE K NAHI KUCH SATH CHALE…..
PHIR DOSH NA DENA AEY LOGO,
HUM DAIKH LO KHALI HATH CHALE…….
YEH RAAH AKELE KAATI HAI,
YAHAN SATH NA KOI YAAR CHALE……
USS PAAR NAJANE KYA PAIN,
ISS PAAR TO SAB KUCH HAAR CHALE
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
men usko hashar kis naam s
*’* Men Usko Hashar Men Kis Naam S Sada Deta,
*’* K Mera Uska Ta’aluk To Ghaibana Tha,
*’* Ajab Kashsh Thi Samandr Ki Sabz Aankhon Men,
*’* Hr Aik Chashma Usi Ki Taraf Rawana Tha
Kabhi tu nazzar millao kareeb aao
kabhi tu nazzar millao”
kabhi tu kareeb aao”
kabhi tu nazzar millao”
kabhi tu kareeb aao”
jo nahi kaha hai”
kabhi tu samajh bhi jao”
hum bhi tu hain tumhare”
deewaane o deewaane”
humne tumko dekhte he ye dil”
tumne humse ye kia kiya”
mera dil na torrou”
kabhi dilse dil millao”
hum bhi tu hain deewaane”
tumhare o tumhare”
kabhi tu nazzar millao”
kabhi tu kareeb aao”
Us se door to ho gae par
Us se door to Ho gae par yon laga muje
Jese jahan main koi apna nhi raha
Wo bewafa nahi magar itna zaroor ha
Pehle wo jis tarha ka tha wesa nhi raha.
Sbb jdi k kh t zr bt
Sà bà b Jùdà i kà kùçh tö zrà btà è mùjhy.
Phir is k bà d dil jåñ se stà é mujhy.
Chalò ye mà añ liyà k u$e ñhi fürsà t.
Ye là zmi to ñhi k ”BHOL,, jae Mujhy
Yun hi udas he dil beqrar thori
Yun Hi Udas He Dil BeQrar THori He,
Mujhe Kisi Ka Koi Intezar Thori He,
Nazar Mila K B us Se Gila Karon Kaise?
Us k Dil Py Mera Ikhtiyar Thori He,
Mujhe Bhi Neend Na Aaye Usey Bhi Chain Na Ho,
Hamare Beech Bhala Itna Piyar Thori He,
Khizaan Hi Dhundti Rehti He Dar-Ba-Dar Mujhko,
Meri Talash Men Pagal Bahaar Thori He,
Na Jane Kon Yahan Saanp Bn K Duss gaya,
Yahan Kisi Ka Koi Aitebaar Thore hai. . .*
Raat hogi to chand duhai degakhawabon mein
Raat hogi to chand duhai dega,
Khawabon mein aapko woh chehra dikhai dega,
Ye mohabbat hai zara sochke karna,
Ek aansoo bhi gira to sunai dega.
Waar is qadar shdeed k dushman hi
Waar is Qadar shdeed k dushman hi kr sky,,,
Chehra mgr zroor kisi Aash’na ka tha…!
Kya hua gar hum unkey dil mein
Kya hua gar hum unkey DIL mein nahi ,
Woh Hamrey dil mein hai yeh hi bahut hai …
Kya hua gar woh humsey baat nahi kartey ,
Hum toh unsey baat kartey hai yeh hi bahut hai …
Kya hua gar woh HAMREY nahi ,
HUM toh unkey hain yeh kya kam hai .,.!!!
Aur to koi bas na chalega hijr
aur to koi bas na chalega hijr k dard k maron ka
subah ka hona dubhar kar dein rasta rok sitaron ka
jhuthe sikon mein bhi utha dete hain aksar sacha mal
shaklen dekh k sauda karna kam hai in banjaron ka
apni zuban se kuch na kahenge chup hi rahenge ashiq log
tum se to itna ho sakta hai pucho hal becharon ka
ek zara si bat thi jis ka charcha pohuncha gali gali
ham gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka
dard ka khna chikh utho dil ka taqaza waza nibhao
sab kuchh sehna chup chup rahna kam hai izzatdaron ka
Tu rahe teri aarzoo mein rahoon justajoo
tu rahe teri aarzoo rahe
meiN rahooN teri justajoo rahe
tere jaur-o-sitam pe khamosh hooN
kuch to ishq ki aabroo rahe
inaayat itni kar mere maalik muj pe
uske kadam ho jahaaN mera moo rahe
kyooNkar jaooN kaab’taiN ko meiN
khuda wahaaN hai jahaaN too rahe
bastiyaaN chaahe jitni ujad jaayeN
roshan yuN hi tera kHub-roo rahe
muraad itni si bas hai agar samjho
meiN tuj meiN muj meiN too rahe
jo ‘Muztar’ mar gayaA to kya hua
tere nisaaroN ki bheed chaar-soo rhe
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
Sari neendein ura kar chala gya mujh
Sari Neendein Ura Kar Chala Gya
Mujh Se Hee Mujh Ko Chura Kar Chala Gya
MUHABAT Ki Intaha Kuch Is Tarha Ki us Ne
Apni Khushbo Mery Jisam Mein Chupa Kar Chala Gya
Ek Pal Ko Hanssany Aya Tha
Har Pal K Liye Rula Kar Chala Gya
Keh Kar Gya Tha Mein Abi Lout Aoun Ga
Kitny Pyar Se Behla Kar Chala Gya…
Tum ny dekha hai kabhi chaand per
tum ny dekha hai kabhi chaand per behta paani
my ny dekha hai yeh manzar uske rukhsaar pe aksar
Ek ishq nagar ki vaadi thi
Ek ishq nagar ki vaadi thi
Jahan pyar ki nadiya behti thi
Kuch dilwale b rehte thy
Jo pyar ki baaten krte thy
Jb bahar ka mosam ata tha
Aur phool pyar k khilte thy
Mast nasheeli shamon mei
Pyar se 2 dil milte thy
Ek roz wo basti ujar gai
Aur pyar ki hasti bikhar gai
Phir har ik dil ko sog laga
Aur jeevan bhar ka rog laga
Dewane phirte rehte hain
Aur har ik se wo kehte hein
Iqrar kisi se na krna
AB PYAR KISI SE NA KARNA.
Oon per jab se mairi aankh aayi
Oon per jab se mairi aankh aayi hy
Mairi tab se hi kuch aankh aayi hy
Husan oon ka to aiK qayamat hy
Oon ko dekh dekh aankh aayi hy
Aankh to lagtay lagi hy abhi abhi
Varna kahan nind me aankh aayi hy
Oon ki nazron ke teer chal gayae
Jab se oon ki nazron me aankh aayi hy
Nazar bhi kiya chiz hy jab lagti hy
Ashq bhar bhar ke aankh aayi hy
Bad khayal aana to lazim hy husan per
Astaghfaar me ro ro aankh aayi hy
Maanaa ke un nezon pe ab sar
maanaa ke un ke nezon pe ab sar nahiin koii
kyaa un ke aastiin men bhii Khanjar nahiin koii
majabuuriyon ne ghar se nikalane na diyaa
duniyaa samajh rahii hai meraa ghar nahiin koii
ab kyaa karenge ham naye suurajkii roshanii
jab dekhane ke vaaste manzar nahiin koii
dil ho rahaa hai der se Khaamosh jhiil saa
kyaa doston ke haath men patthar nahiin koii
qismat sabhii kii vaqt ke haathon men rahatii hai
is daur men kisii kaa muqaddar nahiin koii
Hum se daikhi nahi jati yeh veerani
Hum Se Daikhi Nahi Jati Yeh Veerani
Dil Ki..
Koi Samjha Hai Na Samjhay Ga Kahani
Dil Ki..
Tamana ishq Ki Barbaad Kar Gayi Hum
Ko..
Hum Jisay Aaj Bhi Kehte Hain Nadani
Dil Ki..
Jab Bhi Daikha Usay, Dharkan Na Phir
Sambhal Payi..
Ab Bhi Mansoob Ussi Se Hai Rawani
Dil Ki..
Hum Na Badlay Magar Duniya Badal Gayi..
Wahi Dil Hai, Wahi Aadat Hai Purani
Dil Ki.
k,k
Chala gaya hay wo ab intezar karna
Chala gaya hay wo ab intezar karna kya
fuzool dil ko younhi beqarar karna kya
jo bach gyee hay umar kat he jaye ge
zara c dair ko ab aur pyar krna kya
wo jitnay kaam muhabat k thay tamam howay
koi waja he nhi ab tu jee k krna kya
likhay howey thay sabhi gham meri lakiron main
agar ye sach hay tu phir qismatoon say larna kya
na ab nigah hay wo uski na koi meri ada
tu bay sabab younhi khusbu singhar krna kya
Tum raho hum se door to ek
Tum raho hum se door to ek kaam kar jana
kuch pal apne humare naam kar jana
agar aa jaye mout humein tere aane se pehle
To aa kar mere janaze ka ehtram kar jana
Na rona isqadar k Takleef ho Humein
Mout ko b mazak samajh kar anjaan ban jana
Jo guzro meri qabar se to Nazrein na phairna
Mehman hi samjh k dua Salam kr Jana
Jab wo nend se jaagey to usey
Jab wo nend se jaagey to usey bata dena
.
K, saari raat tere paas jaga tha koi
.
Tum ne jab neend me hathon ko us ke pakra tha,
.
Us Shab-e-Wasal sakty me parr gaya tha koi
.
Jab b aai koi muskan tere chehrey pe,
.
Haan phir dheery se bohat muskuraya tha koi
.
Jab b takiya tere sar se hatt jata tha,
.
Phir apni god me sar rakh k sulata tha koi
.
Tum saari raat yunhi be-khabar sotey rahey,
‘jana’
.
Sari raat tujhe chahat se sulata raha koi..
Courage is going from failure to without
Courage is going from failure to failure without losing enthusiasm.
Winston Churchill
Jane kis baat ki wo saaza deta
jane kis baat ki wo saaza deta hia,
apni yaadon se pal pal wo zehar deta hai,
wo to jine ka sahara hai mera,
phir kyun sajde mai juda hone ki dua deta hai,
mujh se bhijre to kahin moot na aa jae,
ye jaan k bhi najane kyun khud ko hosla deta hai
Uski nigaah kya kamaal karti hai kabhi
Uski nigaah kya kamaal karti hai,
kabhi haqeeqat tou kabhi afsaane bayaan karti hai,
thamm c jati hein us pal dharkanein,
jab uski jhuki palkein Mohabat ka izhaar karti hai…
Muhabbat saath deti hai kabhi yeh
Muhabbat Saath Deti Hai
,”Kabhi Yeh Dard Mein Doobi Koi Siski Sunati Hai,,
Kabhi Har Waqt Be-Cheni Khushi Mein Saath Hoti Hai,,
Kabhi Ankhon Ke Sahil Par Chamakti Shaam Laati Hai,,
Kabhi Barish Ke Mausam Mein Udaasi
Saath Laati Hai,,
Kabhi Khusbo Koi Ban Kar Naye Raste Dekhati Hai,,
Kabhi Honthon Pay Aa Kar Yeh Sisakti Hai Tadapti Hai,,
Kabhi Bejli Ki Surat Aashyano Ko Jalati Hai,,
Kabhi Yeh Sabar Karti Hai Faqat AAnso Bahati Hai,,
Magar Yeh Mere HaAthon Mein Hamesha Hath Deti Hai,,
Jahan Bhi Guzar Jahon
Muhabat SAath Deti Hai ‘
Barishon mein bheeg karwo aksar kaha krti
Barishon Mein Bheeg Kar,Wo Aksar Kaha krti Thi
Mujhe 2 chezaen Bhot pyari lagti hain,
Ik!
Barish
Aur
Ik
Tum,
Barish mujhe isliye Pyari lgti hai,
Kenu K barish Tmhari Yadain Lay Ker Ati hai,
Tum mujhe isliye pyare legtay ho,
Kenu K tmhari Yadain, Barish Ko or B Pyara bna deti Han,
Zindagi per ataab rehnay do rat jagon
Zindagi per Ataab rehnay Do
Rat-jagon ka Azaab rehnay Do
Zikar chero wisaal ka ab to
Hijjar ka iztaraab rehnay Do
Itna kafi hai tum humaray ho
Doosron ko janab rehnay Do
Koi tabeer ho na ho un ki Meri ankhon mein
khuwab rehnay Do
Tum se sailaab ruk nahi saktay
Bastiyaan zair-e-aab rehnay Do
Tum khizaan ka pai-gaam laye ho
Phir bhi ek do gulaab rehnay Do
Ab na ulto naya warq koi Band ghum ki kitaab rehnay Do.
Kabhi sochte hain ki kaash aap hamari
Kabhi sochte hain ki kaash aap hamari zindagi me aaye na hote,
To shayad aapki yaadon ko seene se lagake jeene ki aadat na hoti,
Kabhi sochte hain ki kaash aapse mohabbat na hui hoti,
Sach kahen tab shayad ye zindagi zindagi na hoti….
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
Ye zindagii aaj jo tumhaare badan
ye zindagii
aaj jo tumhaare
badan kii chhoTii-ba.Dii naso.n me.n
machal rahii hai
tumhaare pairo.n se chal rahii hai
tumhaarii aavaaz me.n Gale se nikal rahii hai
tumhaare lafzo.n me.n Dhal rahii hai
ye zindagii
jaane kitanii sadiyo.n se
yuu.N hii shakle.n
badal rahii hai
badalatii shaklo.n
badalate jismo.n me.n
chalataa-phirataa ye ik sharaaraa
jo is gha.Dii
naam hai tumhaaraa
isii se saarii chahal-pahal hai
isii se roshan hai har nazaaraa
sitaare to.Do yaa ghar basaao
qalam uThaao yaa sar jhukaao
tumhaarii aa.Nkho.n kii roshnii tak
hai khel saaraa
ye khel hogaa nahii.n dubaaraa
ye khel hogaa nahii.n dubaaraa
Kaato ke beech reh kar dekho
‘KAATO KE BEECH REH KAR
DEKHO PHOOL KAISE MUSKURATA HAI
APNE DUKH,APNI CHUBHAN KO
HUM SE WO CHUPATA HAI
KHIL KHILATA HUA SAB KO
NAZAR WO AATA HAI
KAATO KI CHUBHAN KO
HASTE HASTE JHEL JATA HAI
PYAR KA NAJRANA BAN
ZINDAGI BHAR SATH NIBHATA HAI
PYAR KE TEEN SHABDO KO
APNE MEIN WO SAMATA HAI
KHUD KAATO MEIN REH KAR
HUMKO SEEKH WO DE JATA HAI
APNE BADAN KO CHALNI KAR
DUSRO PE MARHAM LAGATA HAI
SHAM KE DHALTE – DHALTE
YAHI FASANA DOHRATA HAI
PHOOL KA DIL BHI CHALNI HAI
HASTA CHERA EK BAHANA LAGTA HAI
BAN PYAR KA NAJRANA
HAZAROO KHUSHIYA WO DE JATA HAI’!!
Ashvon ko chain hii nahiin aafat kiye
ashvoN ko chain hii nahiiN aafat kiye baGair
tum, aur maan jaao sharaarat kiye baGair
ahl-e-nazar ko yaar dikhaanaa rah-e-vafaa
aye kaash! zikr-e-dozaKh-o-jannat ke baGair
ab dekh us kaa haal ki aataa na thaa qaraar
khud tere dil ko, jis pe inaayat kiye baGair
aye hamnashiiN muhaal hai naaseh kaa Taalnaa
yah, aur yahaaN se jaayeN nasiihat kiye baGair
tum kitne tund-khuu ho ki pahluu se aaj tak
ek baar bhii uThe na qayaamat kiye baGair
Saamny manzil thi or peechay us ki
~Saamny Manzil Thi or Peechay Us ki Aawaaz……
~Rukta to Safar Jata…. Chalta To Bichar jata……….
~Maekhana Bhi usi ka tha.. MaekarBhi us ka……..
~Agr Peet to emaan jata….na peeta to Sanam jata….
~Saza aesi mili mujh ko……Zakham aese laga Dil per….
~Chupaata tojigar jata…..Sunata to bikhar jata…..
~Mere gham ki dawana thi…Siwaye yar k koochay k.
~Main jaon to kidhr jaon…….Main jaon to kidhr jaon~
Tmhe main bhool jaon ga magr wada
tmhe main bhool jaon ga magr ‘wada’ nahi karta
hamesha muskurao ga magr ‘wada’ nahi karta
tmhari her nishani ko main darya main baha don ga
tmhare khat jala don ga magr ‘wada’ nahi karta
tmhara zikr mehfil main ho to mujhe khamosh rehna hai
main khud ko aazmao ga magr ‘wada’ nahi karta
chalo tm se ye ‘wada’ hai k dil main dard hai jitne
kisi ko na sunao ga magr ‘wada’ nahi karta
sitaron neend k maro chalo khuabomn ki dunia main
main b so he jaon ga magr ‘wada’ nahi karta..
Bus itni mohabbat kafi hai tum
Bus Itni MOHABBAT Kafi Hai
Tum Hans K Milo Phoolon Ki Tarha
Din Raat Katein Khuwabon Ki Tarha
Awara Hawa Lehra K Chaly
Lehra K Chaly Jab Shaam Dhaly
Ek Pairr Taly Tum Hans K Milo
Bus Itni MOHABBAT Kafi Hai
Tum Sath Raho Saanson Men Raho
Tum Paas Raho Baahon Men Raho
Tum Dil Men Raho Dharkan Ki Tarha
Khuwabon Men Raho Yaadon Ki Tarha
Bus Itni MOHABBAT Kafi Hai…
By… Alijan
Meri chahat thhi bas yahi ki tujhe
Meri Chahat Thhi Bas Yahi Ki Tujhe Chaahti Rahoon
Teri Khushiyon Ko Tere Kareeb Rehke Nihaarti Rahun
Jaanti Thhi Agar Maine Ikraar Kar Diya Mohabbat Ka
Na Koi Rishta Reh Paayega Phir Tere Kareeb Rehne Ko
Ek Maamooli Dost Bankar Hi Sahimanzoor Tha Mujhe
Bas Teri Zindagi Me Rehne Ko Pyaar Dabaati Rahi
Teri Awaaz Sun Sakoontujhse Baat Kar Sakoon
Is Khaatir Nigaahon Ko Apni Khamosh Karaati Gayi
Jo Tujhe Pata Chal Jaata Kitni Mohabbat Hai Tumse
Jaanti Hunphir Na Koi Apna Rishta Reh Paata
Chup Chup Ke Sahi Ye Pyaar Nibhaaungi Zindagi Bhar
Khamosh Thi Khamosh Hi Reh Jaayegi Ab Ye Mohabbat
Zara jo bhool jaty ho tabhi
Zara jo bhool jaty Ho…!
Tabhi ehsaas hota Hai…!
K baqi kuch nahi Rehta…!
Mery jeevan k Aangan Mein…!
Meri khushion k Daman mein…!
Tery bin kuch nahi Rehta…!
Odasi chhai rehti Hai…!
Sapny adhory se Lagty hein…!
Din sadiyon se lagty Hein…!
Omeedein merny lagti Hein…!
Zara jo Bhool jaty Ho….!!!
Intikhab e nasir kazmi authornasir kazmi
Intikhab -e- Nasir kazmi
Author Nasir Kazmi
kia din mujhe ashiq naa dekhaae
ek baar jo aye phir na aye
is pekkar naaz kaa fasaana
dil hosh main aye to sunaaye
woh roh khayal wo jaan-e-mazmoon lay
dil is ko kahaan say dhoundh laaye
aankh thi kay do chalaktay saagar
aaraz kay sharab tharthraye
mehki howi saans narm guftaar
har ek rawaish pay gul kehlaae
raahon pay ada ada say raqsaan
anchal main heya say munh chupaaye
aurti howee raah zulf yun preshaan
jase koi raah bhol jaye
kuch phool bars pare zameen par
kuch geet hawa main lehlaahie
Kyaa patah kab sanam kee khabar aayegee
Kyaa patah, kab sanam kee khabar aayegee?
Zindagee, zindagi hai: guzar jaayegee!!
Dourhtee baad-e-sarsar hai aatashbajaan
Aatash-e-tar jigar mein lahar jaayegee!
‘Maykasho, aaj peelo, hain labreyz khum!’
Saaqiyah eik hee baat dohraayegee!!
Dharhkanoun mein mulaaqaat hogee rawaan;
Nagmah-e-ishq fir nisf-shab gaayegee!
Khairmaqdam ko hongeen bahaareyn kharheen;
Gulmohar jhoom fir, phool barsaayegee!
Dhoop dhhal jaayegee: shaam aaney to do!
Surkh parcham sarey baam lahraayegee!!
Hain kharhey khol dar; deed hai raah par:
Kyaa kareygee nazar shokh? Sharmaayegee!
Zad mein aankhoun ki, jaisey hi aayengey woh:
Peishbaayee, ‘abd’, aur garmaayegee!
Kar diya izhare ishq hamne mobile parlaakh rupaye
Kar diya izhare-ishq hamne mobile par,
laakh rupaye ki bat thi,
do rupaye main ho gayee (wah wah )
Woh jo rehta tha iss dill mein
|woh jo rehta tha iss dill mein kahbhi ‘apnon’ ki tarah,
Aisa bhoola ke millta hy ab ‘sapnon ‘ki tarah,
Pal pal karta tha jo saath ‘nibhnae’ ki batain,
Chorr gaya hum ko purani ‘rasmon: ki tararh,
Ruswa huay’zamanay’ mein to ye jaana,
Tere waaday bhi thay jhootay teri’ qasmon’ ki tarah|
Jane kab tak teri tasweer nigaho men
‘Jane kab tak teri tasweer nigaho men rahi
Guzar gai raat terey akks ko taktey taktey
Men ne phir tere tasaw-wur ke kisi lamhey men
Teri tasweer par labb rakh diye aahista sey..’
Main kise or ka hon itan bata
Main kise or ka hon itan bata kar roya,
Wo muje mehndi lagey hath daikh kar roya,
Umar bhar ki judai ka khayal aya tha shaid,
wo mujey pas apney dair tak betha kar roya,
Khath kitabain wo pyair k thofay,
Wo muhabat ki sub nishnian jala kar roya,
Tumhari di hoi sub chezain utar lain gay,
Wo mujey saij pe sajay zewar dikha kar roya,
Ab k na shai zaror roze hasher main milain gay,
Yak jan honey k dilasay dila kar roya,
Main kisi or ka hon itna bata kar roya,
Haqeeqat aashna hoon main koi vaada
Haqeeqat
Aashna Hoon Main,
Koi Vaada Nahin Karta,
Tujhe Main
Yaad Rakhoon Ga,
Woh Aankhen
Yaad Rakhoon Ga,
Jinhen
Pairoon Mein Takta Tha..!!
Woh
Baaten Yaad Rakhoon Ga,
Jinhen Sunte Na
Thakta Tha,
Tere Sang Khushk Pattoon Pe Tehlna Yaad Rakhoon Ga,
Haqeeqat Aashna Hoon Main,
Koi Vaada Nahin Karta,
Magar Itna Yaqeen Hai December Jab Bhi Aaye Ga,
Ya Baarish Jab Bhigoye Gi,
Ya Koi Gham Sataye Ga,
Ya Khushiyoon Ka Samaa Hoga,
Yeh Aankhen Tujh Ko Dhoonden Gi,
Yeh Dil Tujh Ko Pukaare Ga,
Main Har Ek Ajnabi Chehre Mein Tera Aks Dekhoon Ga,
Haqeeqat Aashna Hoon Main,
Magar Dil Ko Samjhata Hoon…!!!
Tu kisi aur ki jageer hai ae
Tu kisi aur ki jageer hai Ae jaan-e-gazal,
log tufaan utha dengay mere sath na chal;
Pehle haq tha teri chahat k chaman par mera,
pehle haq tha tere khushbu-e-badan par mera,
Ab kisi aur k shano pay hai tera anchal,
Log tufaan utha dengay mere sath na chal;
meri kismat men nahi pyar ki khushbu shayed,
Mere hathon ki lakeeron mein nahi tu shayed,
Apni taqdeer bana mera muqaddar na badal,
Log tufaan utha dengay mere sath na chal..
Saath chalne waale jab chorr jaate hain
Saath chalne waale jab,
Saath chorr jaate hain,
Waqt tham nahi jaata,
Koi mar nahi jaata,
Koi mar bhi jaaye tau,
Zindagi nahi rukti,
Rastoon ko chalna hai,
Raaste tou chalte hain,
Yaar dost milte hain,
Zakhum aisay siltay hain,
Dard dard lamhoon mein,
Umar kat hi jaati hai,
Kuch musafroon ko bus manzilain nahi milteen
Koun kehta hai k tumse hamari judae
koun kehta hai k tumse hamari judae hogi! yeh afwah zaror kisi
dushman nay urae hogi! shan se rahaingay tumhare dil main HUM! itnay dino main
kuchh to jaga banae hogi
Teri baanhon ki hona chahti hon tuj
Teri baanhon ki hona chahti hon
Tuj main khona chahti hon
Dekh tere leye khuda ne muj ko banaya
Phir tere liye hi merna chahti hon
Ankhen tere liye bani he ye jan b
Me tuj me samona chahti hon
Na ker muj ko khud se door
Tere liye hi tarapna chahti hon
Sharm o haya tere liye hai mere jan
Me teri hi hona chahate hon
Tuj ko hi dil ka raz daan mana hai
Ab tuj ko me na khona chahti hon
Jo tu ne muj se churaya daaman jana
To phir is zindagi se jana chahti hon…………
Kia milamuhabbatsay wasal ketmazatsay khawab kemusafat
Kia mila’MUHABBAT’say….?
Wasal ke’TMAZAT’say…..?
Khawab ke’MUSAFAT’ sy….?
Rozo-Shab’RIAZAT’ sy…..?
Kia mila’MUHABBAT’ sy…..?
IK thaka hua’AANSOO’…..!
Ek sham’YAADOON’ ke….!
Kia mila ‘MUHABBAT’ sy….?
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
Zara nazdiq aao na ye mosam ha
Zara Nazdiq Aao Na Ye Mosam Ha Mohabat Ka
Nazar Muj Se Milao Na Ye Mosam Ha Mohabat Ka
Khile Phool Gulshan Ma Fizayn Muskurati Ho
Naqab_E_Rukh Uthao Na Ye Mosam Ha Mohabt Ka
Bhula Do Ranjishen DilSe Mita Do Doriyn JANA
Gale Aa Kr Lagao Na Ye Mosam Ha Mohabt Ka
Mre Is Dil Ki Betabi Musalsal Barhti Jati Ha
In Ankhn Se Pilao Na Ye Mosam Ha Mohabat Ka
Guzar Jaygi Ye Rut B Aansu Bahane Ma
Use Ja Kar Manao Na Ye Mosam Hai Mohabat Ka. 4u
%* The Quest %
Wo kisi ky kshtir mujhy bhool bi
Wo kisi ky kshtir mujhy bhool bi
gaya to koi bat ninahi
‘fraz’
main bi to bhool gaya tha sara zamana us
ki khatir
Phir chak e zindgi ko rafoger milla kahan
phir chak-e- zindgi ko rafoger milla kahan zakham jo khula ik baar phir sila kahan kal raat ik gher nai bari rashani rahi tara mere naseeb ka tha mager khila kahan
Nahi aise sata0 tum muje tanhai dasti
Nahi Aise Sata0 Tum
MuJe Tanhai Dasti Hai
Kahin Sy L0t Aa0 Tum
MuJe Tanhai Dasti Hai
Yakeen Tum K0 Meri Bat0n Py Akhir Ky0n Nhi H0ta
Meri Jaan Maan Ja0 Tum
MuJe Tanhai Dasti Hai
K0i Dastak K0i Ahat Na K0i Ghar Py Aya Hai
Prind0 Chehch‘ha0 Tum
MuJe Tanhai Dasti Hai
MuJe Lagta Hai Mujk0 Ab Judai Maar Dale Gi
K Ab t0 Maan Ja0 Tum
MuJe Tanhai Dasti Hai
Na Janey Tum Kahan Pr Chale Gye H0
MuJe Dil Sy Laga0 MuJe Tanhai Dasti Hai….“
(¯`v´¯)
`*.¸.*´ Lover
¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)
(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•
Princeâ€
Har rishta ek safar chahta hai
HAR RISHTA EK SAFAR CHAHTA HAI,
HAR MUSAFIR EK HUM SAFAR CHAHTA HAI,
JAISEY CHAHTI HAI CHANDNI CHAND KO,
KOI HAI JO ApKO BHI IS KADAR CHAHTA HAI…!
Likhi hai yeh ghazal sirf tere liye
Likhi hai yeh ghazal sirf tere liye
dewane banay bhi to sirf tere liye
kisi ko nahi dekhengi ab yeh ankhain
nazrain tarsaingi bhi to sirf tere liye
her saans main yaad karonga tujhe
yeh saans niklegi to sirf tere liye
her piar se piaray lagte ho tum mujhko
maine piar seekha hbhi to sirf tere liye
jub bhi barish huwi to teri yaad aai
her barish main bheega to sirf tere liye
hansi to mere labon se rooth gai
magar jis roz bhi hansa to sirf tere liye
Ye aag ishq ki hai bujhaane se
Ye Aag Ishq Ki Hai Bujhaane Se Kya Bujhe,,
Dil Tere Bas Mein Hai Na Mere Ikhtiyaar Mein,,
Hai Tute Dil Mein Teri Mohabbat Tera Khayaal,,
hush-Rang Hai Bahaar Jo Guzari Bahaar Mein,,
Aansu Nahin Hai Aankhon Mein Lekin Tere Bagair,,
Who Kaanpte Hue Hain Dil-E-Beqaraar Mein……