Yeh haseen shaam apni

abhi jis maiN ghul rahee hai

tere pairahan ki Khushboo

abhi jis maiN khil rahee hai

mere Khuwaab ke shagoofey

zara dair ka hai manzar

zara dair maiN ufaq pay

khiley ga koi sitara

teri simat dekh kar voh

karey ga koi ishara

tere dil ko aaey ga phir

kisi yaad ka bulava

koi qissa-e-judai, koi kaar-e-na_mukammal

koi Khuvaab-e-na_shagufta, koi baat kehney wali

kisi aur admi se humain chahiye tha milna

kisi aehad-e-meherbaaN maiN

kisi Khuvaab ke yaqeeN maiN

kisi aur asmaan par

kisi aur sarzameeN maiN

humaiN chahiye tha milna