Be faiz rafaqat mein samar kis ke liye

Be-faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha

jab dhoop thi qismat tu shajar kis ke liye tha

Pardes mein suna tha, tu chhat kis liye daali

baher hi nikalna tha tu ghar kis ke liye tha

Jiss khak se phoota hai ussi khak ki khushboo

pehchaan na paya tu huner kis ke liye tha

Aaye madar-e-geeti! teri hayrat bhi baja hai

tere hi na kaam aya tu sar kis ke liye tha..

Youn shaam ki dehshat se sar-e-dasht-e-irada

rukhna tha, tu phir sara safar kis ke liye tha

tumhari yad k manzar kbi khone

*’* Tumhari Yad K Manzar Kbi Khone Nhi Dete,

*’* Tumhari Yad K Saye Hmen Sone Nhi Dete,

*’* Ye Badal , Phul Or Khushbu Bhut Betab Krte Hen,

*’* Agr Rona B Chahen Hm Kbi Rone Nhi dete,

*’* Hm Apni Sans De Ke Rok Lete Jane Waln Ko,

*’* Hmara Bs Agr Hota Juda Hone Nhi Dete,

*’* Nazar M Deed Ki Hasrat Lye Chup Chap Bethe He DOST,

*’* Ap Hum S Dur Reh Kr B Hme Sone Nhi Deti

Hawa mahak uthi rang e chaman badalne

Hawa mahak uThi rang E chaman badalne laga

Woh mere saamne jab pairahan badalne laga

Bahum hue haiN to ab guftagu nahi hoti

Bayaan E haal meN tarz E sukhan badalne laga

Andhere meN bhi mujhe jagmaga gaya hai koi

Bas ik nigaah se rang E badan badalne laga

Zara si dair ko barish ruki thi shaakhoN per

Mizaaj E susan O sarv O saman badalne laga

Faraz E koh pe bijli kuch is tarah chamki

Libaas E vaadi O dasht O daman badalne laga

Chahny waly bhe baray naseeb se milty

CHAHNY WALY BHE BARAY NASEEB SE MILTY HAY

DOST

TUM YE BATE TASLEEM KARO GHAY MERY BECHARNY K BADE

{{{{{{{{{MUSADDAQ ALI}}}}}}}}}

{{{{{BAHAWAL PUR}}}}}

Parveen shakir tumhary khwab sajany me

PARVEEN SHAKIR

Tumhary ‘KHWAB’ sajany me lutf aata hay,

K apna aap ‘JALANY’ me lutf aata hay,

Khuda se apne liye ‘MAANGTi’ hon jab tujh ko,

Mujhy ye ‘HATH’ othany me lutf aata hay,

Teri ‘YAAD’ me bas jaagty rahein shab bhar,

Khud apni ‘NEEND’ churany me lutf aata hay,

Teri ‘ZAAT’ se hay be_panah ‘PIYAR’ hamein,

Tumhary ‘NAZ’ othany me lutf aata hay.AA

Chehra mera tha nigahen us ki khamushi

chehra mera tha nigahen us ki

khamushi main bhi wo baten us ki

mere chehre pe gazal likhti gain

sher kahti hui ankhen us ki

shokh lamhon ka pata dene lagin

tez hoti hui sansen us ki

aise mausam bhi guzare ham ne

subhen jab apni thin shamain us ki

dhyan main us k ye alam tha kabhi

ankh mahtab ki yaden us ki

faisala mauj-e-hawa ne likkha

andhiyan meri baharen us ki

nind is soch se tuti aksar

kis tarah katati hain raten us ki

dur rah kar bhi sada rahti hai

mujh ko thame hue bahen us ki

Perveen shakir saare waadon ko bhula

‘~Perveen Shakir.

Saare WA’ADON ko bhula sakti hon,

Lekin

Rehne Do..!

Main tumhein chor k

Ja sakti hon,

Lekin

Rehne Do..!

Tum jo har morr pe keh dete ho

KHUDA HAFIZ,

Faisla me bhi suna sakti hon,

Lekin

Rehne Do..!

Tum ne jo baat ki

Dil ko dukhane wali,

Us per main

Muskura b sakti hon,

Lekin

Rehne Do..!

Sharam aaye gi tumhein

Warna Tumhare WA’ADAY,

Me tumhein YAAD dila sakti hon,

Lekin

REHNE DO..!!

Parveen shakir nigahon k tasadum se ajab

Parveen Shakir…

‘Nigahon k tasadum se ajab takraar karta hai…’

‘Yaqin kaamil nahi Lekin gumaan hai Pyar karta hai…’

‘Laraz jati hun Mein ye soch k kafir na ho jaon…’

‘Tabiyat Us ki pooja pe bara israar karti hai…’

‘Usay maloom hai shayad mera Dil hai nishanay par…’

‘Labon se kuch nahi kehta nazar se waar karta hai…’

‘Mein Us se pochti hun khuwab mein,’

‘Mujh se Mohabbat hai…?’

‘Phir aankhain khol deti hun wo jab izhaar karta hai..

Khulii aankhon men sapanaa jaagataa hai vo

khulii aa.Nkho.n me.n sapanaa jaagataa hai

vo soyaa hai ke kuchh kuchh jaagataa hai

terii chaahat ke bhiige jangalo.n me.n

meraa tan mor ban ke naachataa hai

mujhe har kaifiyat me.n kyo.n na samajhe

vo mere sab havaale jaanataa hai

kisii ke dhyaan me.n Duubaa huaa dil

bahaane se mujhe bhii Taalataa hai

sa.Dak ko chho.D kar chalanaa pa.Degaa

ke mere ghar kaa kachchaa raastaa hai

Jo chala gya mujhe chod kemain kabhi

Jo Chala Gya Mujhe Chod Ke,Main Kabhi Na Us Ko Bhula Saka,,Wohi Dorian Wohi Fasle Main,Kabhi Na In Ko Mita Saka.,Kya Use Bhi Mujh Se Pyar Thha

Ya Tabussum Us Ka Shuar Thha,Wo Koi Ajib Sawal Thha,Jo Meri Samajh Mein Na Aa Saka,Meri Zindagi Ka Sakoon Thha,Wo Mere Dil Ka Ik Janon Thha

Meri Bandagi Mera Pyar Thha

Yehi Bat Na Main Bata Saka

Yehi Sochta Thha Main Raat Bhar

Wo Kabhi Mile Ga Jo Raah Par

To Karon Ga Us Se Shikaitain

Wo Mila To Lab Na Hila Saka

Sabz maddham roshanii men surkh aanchal kii

sabz maddham roshanii me.n surKh aa.Nchal kii dhanak

sard kamare me.n machalatii garm saa.Nso.n kii mahak

baazuuo.n ke sakht halqe me.n ko_ii naazuk badan

silvaTe.n malabuus par aa.Nchal bhii kuchh Dhalakaa huaa

garmii-e-ruKhsaar se dahakii hu_ii Thaa.nDii havaa

narm zulfo.n se mulaayam u.Ngaliyo.n kii chhe.D chhaa.D

surKh ho.nTho.n par sharaarat ke kisii lamhe.n kaa aks

reshamii baaho.n me.n chuu.Dii kii kabhii maddham dhanak

sharmagii.n lahajo.n me.n dhiire se kabhii chaahat kii baat

do dilo.n kii dha.Dakano.n me.n guu.Njatii thii ek sadaa

kaa.Npate ho.nTho.n pe thii allaah se sirf ek duaa

kaash ye lamhe Thahar jaaye.n Thahar jaaye.n zaraa

Betabdil parven shakir tumhaari yaad ke

‘Be_Tab_DiL’

(Parven Shakir)

Tumhaari yaad ke manzar kbhi khone nhi dete,

Tumhaari yaad ke saye hame sone nhi dete,

Ye baadal,phol or khusboo boht betaab karte hain,

Agar rona b chaahen hm kbhi rone nahi dete,

Hm apni saans de k rok lete jaane walon ko,

Hamaara bas agar hota juda hone nahi dete,

Nazar mai deed ki hasrat liye chup chaap bethe hain,

Wo hm se door reh kar b hamen sone nahi dete….

Mere wajood ki jageer usne mangi hai

mere wajood ki jageer usne mangi hai,

ajeb khawabo ki tabeer us ne mangi hai,

us ki qaid main rehti hon pehle bhi,

na janay phir keun us ne zanjeer mangi hai,

guman hota hai wo bhool sakta hai mujhe,

keun k aaj us ne meri tasveer mangi hai,

mere khuda mujhe us k naseeb main lekh de,

k mujh se merie taqdeer us ne mangi hai…..from prince

Dil ki chokhaat pe jo ak deep

Dil Ki Cho’khaat Pe Jo Ak Deep Jala Rakha Hai

Tere Loot Anay Ka Emkaan Saja Rakha Hai

Sans Taak Bhi Nahi Laite Tujhai Sochte Hoyee

Hum Ne Is Kaam Ko Bhi Kaal Pe uTha Rakha Hai

Rooth Jate Ho To Kuch Or Haseen Lagte Ho

Hum Ne Ye Soch K Hee Tum Ko Khafa Rakha Hai

Tum Jesi Rootha Howa Choor Gayee Thay Ak Din

Hum Ne Us Shaam Ko Seenay Say Laga Rakha Hai

Chein Laine Nahi Daite Ye Kisi Toor Mujhai

Teri Yadoon Ne Jo Tufaan Utha Rakha Hai

Janay Walay Ne Kaha Tha K Wo Loote Ga Zaror

Ak Isee Aass Pee Darwaza Khula Rakha Hai

Tere Janay Say Jo k Dhol Uthee Thi Ghaam Ki

Hum Ne Us Dhool Ko Ankhon Main Basa Rakha Hai

Mujh Ko Kal Shaam Say Wo Yaad Bohut Ane Lagay

Dil Ne Mud’dat Say Jo Ak Shaks Bhula Rakha Hai

Akhri Bar Jo Ayaa Tha Mere Naam

Main Ne Us Khaat Ko Kaalejay Say Laga Rakha Hai.!

Parvin shakir last ghazal a moaj e hawa tu

Parvin Shakir:

LAST GHAZAL.

A moaj-e-Hawa Tu hi batta !!

Wo Dost humara Kesa Hai.?

Jo BhooL Chuka Hai hamain Kab sey!

Wo Jaan sy pyara Kesa Hai.?

Kya us K Jeewan Lamhon mein…

Koi Lamha mera baaqi Hai.?

Kya us Ki Jaagti aankhon mein,,,

meri Yaad abhi bhi baaqi hai.?

ager aisa nahi to!!! tu hi batta,,,

Hum Yaad usey Kyun Kartey Hain.?

Wo Hum sy bichar K Khush Hai ager!

To pall pall Hum Kyun MARTAY hain.?

A ‘moj-e-hwa’ tu hi baata..!!

Jane kab tak teri tasweer nigaho men

Jane kab tak teri tasweer nigaho men rahi

Guzar gai raat terey akks ko taktey taktey

Men ne phir tere tasaw-wur ke kisi lamhey men

Teri tasweer par labb rakh diye aahista sey..

Mushkil hai ab shahar main nikle koi

mushkil hai ab shahar main nikle koi ghar se

dastar pe bat a gai hai hoti hui sar se

barsa bhi to kis dasht k be-faiz badan par

ik umr mere khet the jis abr ko tarse

is bar jo indhan k liye kat k gira hai

chiriyon ko bara pyar tha us burhe shajar se

mehnat meri andhi se to mansub nahin thi

rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se

khud apne se milne ka to yara na tha mujh main

main bhir main gum ho gai tanhai k dar se

benam musafat hi muqaddar hai to kya gam

manzil ka ta’yyun kabhi hota hai safar se

pattharaya hai dil yun k koi ism parha jaye

ye shahar nikalta nahin jadu k asar se

nikle hain to raste main kahin sham bhi hogi

suraj bhi magar ayega is rah-guzar se

Ajeeb waqiya hai ek azeez dost

Ajeeb Waqiya Hai Ek Azeez Dost

Apnay Mufaad Per Mujhay Qurban Kar Gaya

Kitni Sudhar Gayi Thi Judayi Mein Zindagi

Haan Woh Jafa Se Mujh Pe Aehsan Kar Gaya

Main Baat Baat Per Kehti Thi Jis Ko Jaan

Aakhir Wohi Shakhs Mujh Ko Be Jaan Kar Gaya

Saaray wadoon ko bhula sakti hun lekin

saaray WADOON ko bhula sakti hun,

lekin

Rehne Do..!

main TUMHEIN chor k ja sakti hun,

Lekin

Rehne Do..!

tumy jo har morr pe keh den

Rehne do..!

sharm aaye gi TUMHEIN warna

Tumhary

WAADAY,

Main TUMHEIN yaad dila sakti hun,

Lekin

REHNE DO..!!!!!

Kuch raat ki aankhen beegi thein

‘Kuch raat ki aankhen beegi thein,

Aur chand bhi rootha rootha tha,

Kuch yaaden us ki baqi thein,

Aur dil b toota toota tha,

Kis more pe bichre yaad nahi,

Honton pe koi faryaad nahi,

Uss wade ki b khabar nahi,

Wo sacha tha ya joota tha,

Har lamha aahen barte hain,

Na jeete hain na marte hain,

Bas aik dua ye karte hain,

WO LOT K WAPAS A JAYE…

WO LOT K WAPAS A JAYE’

Barish hui to phulon k tan chak

barish hui to phulon k tan chak ho gaye

mausam k hath bhig k saffak ho gaye

badal ko kya khabar k barish ki chah main

kitne buland-o-bala shajar khak ho gaye

jugnu ko din k waqt pakarne ki zid karen

bache hamare ahad k chalak ho gaye

lahra rahi hai barf k chadar hata k ghas

suraj ki shah pe tinak bhi bebak ho gaye

suraj dimag log bhi iblag-e-fikr main

zulf-e-shab-e-firaq k pechak ho gaye

jab bhi garib-e-shahar se kuch guftagu hui

lahaje hawa-e-sham k namnak ho gaye

sahil pe jitne abguzida the sab k sab

dariya k rukh badalte hi tairak ho gaye

Hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha

hamare darmiyan aisa koi rishta nahin tha

tere shanon pe koi chat nahin thi

mere zimme koi angan nahin tha

koi wada teri zanjir-e-pa banane nahin paya

kisi iqrar ne meri kalai ko nahin thama

hawa-e-dasht ki manind

tu azad tha

raste teri marzi k tabe the

mujhe bhi apni tanhai pe

dekha jaye to

pura tasarruf tha

magar jab aj tu ne

rasta badla

to kuch aisa laga mujh ko

k jaise tu ne mujh se bewafai ki

Aa saingee tekoo haal dewa hik koonj

Aa Saingee Tekoo Haal Dewa Hik Koonj Kalhoki Ayee Wadhi hy

Zakhmi pair Lahoo Chehra Khamb Hunjowa Naal Poosayee Wadi Hy

Oonhdi Kook Kinoo Maloom Thende Koi Qeemti Cheez Lutai Wadi Hy

Shak Lagda Hy Ae V Dard Mari Main WAngur Yar Rusaii Wadi Hy

Dil ka kya hai wo to chahega

dil ka kya hai wo to chahega musalsal milana

wo sitamgar bhi magar soche kisi pal milna

wan nahin waqt to ham bhi hain adim-ul-fursat

us se kya kahiye jo har roz kahe kal milna

ishq ki rah k musafir ka muqaddar malum

dasht-e-ummid main andeshe ka badal milna

daman-e-shab ko agar chak bhi kar len to kahan

nur main duba hua subah ka anchal milna

g u r i y SMS# 368305

[ G u r i Y a ]

ߥ:

Parveen Shakir

‘Tum Mujhe GuriYa Kehte ho,,

.

Theek Hi Kehte ho,,

.

Khelne Walay Sab Haathon Ko,,

.

Me ‘GuriYa’ Hi Lagti Hun,,

.

Jo Pehna Do Mujhpe Saje Ga,,

.

Mera Koi Rang Nahin,,

.

Jis Gudday Ke Haath Me Dy Do,,

.

Meri Kisi Se Jung Nahin,,

.

Soti Jaagti Aankhen Meri,

.

Jab Chaho Beenayii Le Lo,,

.

Kook Bharo or Baatein Sun Lo,,

.

Ya Meri Goyaayiee Le Lo,,

.

Maang Bharo Seenay Se Lagao,,

.

Pyar Karo Aankhon Me Basao,,

.

Or Jab Dil Bhar Jaaye

Toh,,

.

Dilse Utha Ker Taak Pe Rakh Do,,

.

Tum Mujhe GuriYa Kehte Ho,,

.

Theek Hi Kehte Ho. . .*

typdsS. .Ali rocks

Zinda tha to kisi ne na pucha

Zinda tha to kisi ne na pucha haalat-e-jigar,

Ab mar gaye hain to mitti main dabanay aagaye,

Chor k dunya ko madhosh huye thy hum,

Woh na janay kya soch kar humko jaganay aagaye,

Na janay kis se pucha hai wafa na pata mera,

Meri qabar pe bhi humko jaganay aagaye,

Hum to andhere main sonay k aadi they,

Or woh bewafa meri qabar per diye jalanay aagaye.

Zinda tha to ek nazar na dekha pyar se

Mar gaye hain to ab qabar pe aansu…….

Rukne k samay guzar gaya hai jana

rukne k samay guzar gaya hai

jana tera ab thahar gaya hai

rukhsat ki ghari khari hai sar par

dil koi do-nim kar gaya hai

matam ki faza hai shahar-e-dil main

mujh main koi shakhs mar gaya hai

bujhne ko hai phir se chashm-e-nargis

phir khwab-e-saba bikhar gaya hai

bas ik nigah ki thi us ne

sara chehara nikhar gaya hai

Justaju khoye huon ki umr bhar karte

justaju khoye huon ki umr bhar karte rahe

chand k hamrah ham har shab safar karte rahe

raston ka ilm tha ham ko na simton ki khabar

shahar-e-namalum ki chahat magar karte rahe

ham ne khud se bhi chupaya aur sare shahar se

tere jane ki khabar dar-o-diwar karte rahe

wo na ayega hamain malum tha us sham bhi

intazar us ka magar kuch soch kar karte rahe

aj aya hai hamain bhi un uranon ka khayal

jin ko tere zaum main be-bal-o-par karte rahe

Wo tha bara nadanpr khosh jabeen yar

wo tha bara nadan,pr wo khosh jabeen tha

wo yar mera onchy mkanon ka makeen tha

wo dosry kenary ka jo arman rah gaya

sona ha k mowjon ka bara sakhat aiin tha

dil ne ankhon sy mel k raz pash kr diye

ye dil mera dosto sub sy ameen tha

ab khowb me b muj sy wahi dor dor ha

jo gue zamane me mera dilnasheen tha

os jehel k daman me hazaron k phool thy

pr mera tahir,mera kanwl sb sy haseen tha.

Baarish huee to phulon ke tan chaak

Baarish huee to phuloN ke tan chaak ho gaye

Mausam ke haath bheeg ke saffaak ho gaye

Baadal ko kya khabar hai k baarish ki chaah meN

Kitne buland-o-baala shajar khaak ho gaye

Jugnu ko din ke waqt parakhne ki zidd kareN

Bachche hamaare ‘ahd ke chaalaak ho gaye

Lehra rahi hai barf ki chaadar hata ke ghaas

Sooraj ki shah pe tinke bhi bebaak ho gaye

Sooraj-dimaag log bhi iblaagh-e-fikr mein

Zulf-e-shab-e-firaaq ke pechaak ho gaye

Jab bhi ghareeb-e-shehar se kuch guftagu huee

Lehje hawa-e-shaam ke namnaak ho gaye

Saahil pe jitne aabguzeeda thhay sab ke sab

Dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye

Ab bhalaa chhor ke ghar kyaa karte

Ab bhalaa chhoR ke ghar kyaa karte

Shaam ke vaqt safar kyaa karte

Terii masruufiyyateN jaante haiN

Apne aane kii Khabar kyaa karte

Jab sitaare hii nahiiN mil paaye

Le ke ham shams-O-qamar kyaa karte

Vo musaafir hii khulii dhuup kaa thaa

Saaye phailaa ke shajar kyaa karte

Khaak hii avval-O-aaKhir Thahrii

Kar ke zarre ko guhar kyaa karte

Raa’e pahle se banaa lii tuune

Dil meN ab ham tere ghar kyaa karte

Ishq ne saare saliiqe bakhshe

Husn se kasb-E-hunar kyaa karte

Prveen shakir aghaaz e bahaar se hi ab

PrvEEn Shakir

A’GhaaZ-E-BahAAr SE Hi AB KE Ye KAiSa GuLaab KhUl Gaya HAi,,,;*

SAray JanGaL Meim R0ShNi HAi,,,;*

PAtAy PAtAy PE TaZaGi HAi,,,;*

HAr N0aK-E-GeyAA Pe HAi ShaBnAm,,,;*

IK NaGhmaGi HAi HAwa Ke Tan MEin,,,;*

Ik RaQs Ki Kaifiyat BAdAN MEin,,,;

Larkiya bewafa nh h0ti wo t0

.*’LarKiYa BeWaFa Nh H0tI’*.

.

Wo t0 majb0ri0n mai lipTi haIn..

ApNe shIdaT bHarY khaYaLo0n mai..

ApNe anDr chUpi eK aUraT mai..

W0 hUmeSha hi darTi rehTi haIn..

Na to jEeTi haIn na t0 marTi haIn..

LarkiYaan beWaFa nh hoTi..

Per Hamesha hi darTi rehTi hain

Apne reeTi 0r raWaj0on sE..

AnY waLe naYe aZab0on sE..

ZarduRat mai khiLe ghUlaBo0n sE..

PyaaR kerTi haIn 0r chUpaTi haIn..

LarKiYan BeWaFa nH h0ti..

Ki0n k majb0ri0on mai lepTi haIn..

Or heR lamHa darTi rehTi haIn..

ApnE pYar sE apNe saYe sE..

ApNe riShTo se diL ki dharkan sE..

ApNi khoWaIsh sE apNi kHusHi0on sE..

LaRkiYa BeWaFa nh h0ti..

By: Parveen Shakir

Marne se bhi pahle mar gaye the

Marne se bhi pahle mar gaye the

Jeene se kuchh aise dar gaye the

Raste me jahaaN talak diyay the

Saare mere hum-safar gaye the

AaNkheN abhi khul nahi saki thiN

Aur khaab mere bikhar gaye the

Jab tak na khila tha Us ka waada

Mausam mere be samar gaye the

Gardaab se bachne waaloN ki samt

Saahil se kayi bhaNvar gaye the

“Q”

Ab tak wohi nashsha E paziraayi

Kal khaab meN us ke ghar gaye the

Milta na tha waapasi ka rasta

Kya jaAniye hum kidhar gaye the

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan

Khushbuu hai vo to chhuu ke badan ko guzar na jaaye

jab tak mere wajuud ke andar utar na jaaye

Khud phuul ne bhii honth kiye apane niim-vaa

chorii tamaam rang kii titalii ke sar na jaaye

is Khauf se vo saath nibhaane ke haq mein hai

khokar mujhe ye ladakii kahiin dukh se mar na jaaye

palkon ko us kii apane dupatte se ponch duun

kal ke safar mein aaj kii gard-e-safar na jaaye

main kis ke haath bhejuun use aaj kii duaa

qaasid havaa sitaaraa koii us ke ghar na jaaye

Jala diyaa shajar e jaan k sabz

Jala diyaa shajar E jaaN, K sabz bakht na tha

Kisi bhi rut me haraa ho ye wo darakht na tha

Jo khaab dekha tha shahzaadiyoN ne pichhle pahar

Phir us ke baad muqaddar me taaj O takht na tha

Zara se jabr se maiN bhi to toot sakti thi

Meri tarah se tabi’at ka woh bhi sakhta na tha

Andheri raatoN ke tanhaa musaafiroN k liye

Diyaa jalata hua koi saaz O rakht na tha

Mere liye to wo khanjar bhi phool ban ke uThaa

Zabaan sakht thi, lehjaa magar karakht na tha

Gaye wo din k mujhi tak tha mera dukh mahdood

Khabar ke jaisaa ye afasaana lakht lakht na tha

Tmhary khwab sajany main lutff aata hai

tmhary khwab sajany main lutff aata hai

k apna aap jalany main lutf aata hai

khuda se apny lie mangti hun jb tjh ko

mjhy ye hath uthny main lutff aata hai

tri yaad main jagti rehti hun shb bhar

khud apni neend churany main lutff aata hai

teri zaat se hai bepanah pyar hamen

tmhary naaz uthny main lutff aata hai

P0etess parveen shakir khoyi khoyi

p0eTeSs : Parveen Shakir

KhoYi khoYi Aankhain

BikhreY baaL

Shikan alooda Qaba .!!

Luta Luta insan

SaaYe ki tarah mereY sath raha kerta

Lekin ..!!!

Kisi Jagah mil jaaYe to gabhra keY murr jata heY

Aur phir door seY ja ker mujh ko takneY lagta heY

Kon heY Yeh ???

Kuch faisala to ho k kidhar jana

kuch faisala to ho k kidhar jana chahiye

pani ko ab to sar se guzar jana chahiye

har bar aeriyon pe gira hai mera lahu

maqtal main ab ba-tarz-e-digar jana chahiye

kya chal saknge jin ka faqat mas’la ye hai

jane se pahle rakht-e-safar jana chahiye

sara jwar-bhata mere dil main hai magar

ilzam ye bhi chand k sar jana chahiye

jab bhi gaye azab-e-dar-o-bam tha wahi

akhir ko kitni der se ghar jana chahiye

tohamat laga k man pe jo dushman se dad le

aise sukhanfarosh ko mar jana chahiye

Badban khulne se pahle ka ishara dekhna

badban khulne se pahle ka ishara dekhna

main samandar dekhti hun tum kinara dekhna

yun bicharna bhi bahut asan na tha us se magar

jate jate us ka wo mur k dubara dekhna

kis shabahat ko liye aya hai darwaze pe chand

ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna

aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye

jane ab kya kya dikhayega tumhara dekhna

Betabdil parvenshakir tumhaari yaad ke manzar

(Be_Tab_Dil)

(Parven.Shakir)

Tumhaari yaad ke manzar kabhi khone nahi dete,

Tumhaari yaad ke saae hame sone nahi dete,

Ye baadal,phool or khusboo bohat betaab karte hain,

Agar rona bhi chaahen hum kabhi rone nahi dete,

Hum apni saans de ke rok lete jaane waalon ko,

Hamaara bas agar hota juda hone nahi dete,

Nazar mai deed ki hasrat lie chup chaap bethe hain,

Wo hum se door reh kar bhi hame sone nahi dete..!

manzil sab log thay

…… MANZIL …….

sab log thay manzil ko rawan dawan

aur mai tha keh kinaray ko na chu saka

mare chashm nam hoen bi gar

mujhay khumar-e-qalb na puhncha saka

mare khwahishon ke amartain,

veraan bastion mai sutoon milay

mare aik aik jo dewaar the,

usay phir say tameer na kar saka

meray chaman mai jo khizaan aye,

usay moj-e-bahar na dila saka

meray dast badast mai jo dhul the

usay aik he aah nay ura dia

mare ainay may jo tasveer the

usay rooh-e-imaan na dila saka

mare nao the keh mojon mai rawan dawan

aur mai tha keh kinaray ko na chu saka

parveen shakir mere wajood ki

‘*+,,,+*

Parveen Shakir

mere wajood ki jageer usne mangi Hai

ajab kHawab ki Tabeer usne mangi Hai

uski qaid mein reHTi Hoon main peHle bhi

najane pHir kyon zanjeer usne mangi Hai

guman HoTa Hai wo bHool sakTa Hai mujhe

kyon k aaj meri Tasveer usne mangi Hai

mere kHuda mujhe uske nasib me likH de

k mujhse meri Taqdeer usne mangi Hai,,,,,!

Paani per bhi zaad e safar main piyaas

paani per bhi zaad-e safar main piyaas tu letey hain

chahney waley aik dafa bin baas tu letey hain

aik hi sheher main reh kar jin ko izn-e deed na ho

yehi bohat hai, aik hawa main saans tu letey hain

rasta kitna dekha howa ho, phir bhi shah-sawaar

aerh laga kar apney haath main raas tu letey hain

phir aangan dewaroo.n ki onchaai main gum hoon gai

pehley pehel ghar apnoo.n k paas tu letey hain

yehi bohat hai k bachey khaali haath nahi hain

apney purkhoo.n ki meraas tu letey hain

Main kachi nind hun aur apne nim

main kachi nind main hun

aur apne nim khwabida tanaffus main utarti

chandani ki chap sunti hun

guman hai

aj bhi shayad

mere mathe pe tere lab

sitare sabat karte hain

Zndgi men ye bdn shola e jawwala tha moja e srd

zndgi men ye bdn sho’la-e-jawwala tha,

moja-e-srd mri rakh thikany se uttha,

dhaal ab wqt k hathon me he ay teer andaz,

rkh de ek smt kaman hath nishane se uttha,

dil tri chasm-e-madaraat sy bea’t tha to phr,

kis trah bzm men oron k uthane se uttha,

doodeek seena-e-sozan se bhala kia drna,

wo dhuan dekh jo sho’lon k bujhany se uttha,

dil dukha to khuli hy mere wjdaan ki ankh,

ek shgofa tha k shbnm k jgany se uttha,

sonp de apna hunar unko k jinka haq he,

wqt aya he k ab saanp khazany se uttha…!

Safar main dhoop to hogi jo chal

safar main dhoop to hogi jo chal sko to chalo, sbhi hin bheer main tm b nikl sko to chalo..kisi k wastey rahen kahan badti hain, tum apney ap ko khud e badl sko to chalo.. chalo..yhi hi zindgi kuch khawb chand umeeden, inhi khilono sy tum b behl sko to chalo.

Parveen shakir sari duniya k riwajon sy

‘parveen shakir’

Sari duniya k riwajon sy adawat ki thi

Tum ko yad hai jab men ny ik himaqat ki thi

Usy razdan samajh kr bataya tha hal-e-dil apna

Par us shakhs ny meri zat sy baghawat ki thi

Jab kisi ki yadon ny Aankhon ko bhigoya tha meri

Maine ik nam ki tasbeh pe tilawat ki thi

Us ko chor k hansty hue ghar Aa kar

Itna roye thy k Ankhon ny qyamat ki thi

Mery ujarny ka sabab jab bhi kisi ny pocha to

Maine bas itna bataya k ‘MOHABBAT KI THI’.

parveen shakir mere wajood ki

‘*+,,,+*

Parveen Shakir

mere wajood ki jageer usne mangi Hai

ajab kHawab ki Tabeer usne mangi Hai

uski qaid mein reHTi Hoon main peHle bhi

najane pHir kyon zanjeer usne mangi Hai

guman HoTa Hai wo bHool sakTa Hai mujhe

kyon k aaj meri Tasveer usne mangi Hai

mere kHuda mujhe uske nasib me likH de

k mujhse meri Taqdeer usne mangi Hai,,,,,!

Dasht e shab par dikhai kya dengi silawaten roshani

dasht-e-shab par dikhai kya dengi

silawaten roshani main ubhrengi

ghar ki diwaren mere jane par

apni tanhaiyon ko sochengi

ungaliyon ko tarash dun phir bhi

adatan us ka nam likkhengi

rang-o-bu se kahin panah nahin

khwahishen bhi kahan aman dengi

ek khushbu se bach bhi jaun agar

dusari nikahaten jakar lengi

khirkiyon par dabiz parde hon

barishen phir bhi dastaken deng

Woh jaa chukaa hai magar judaai se

Woh jaa chukaa hai

Magar judaai se qabl kaa

Ek narm lamha

Thehar gayaa hai

Miri hatheli ki pusht per

Zindagi mein

Pehli kaa chand bun ker

Kariya e jan main koi phul khilne aye wo

kariya-e-jan main koi phul khilne aye

wo mere dil pe naya zakhm lagane aye

mere wiran darichon main bhi khushbu jage

wo mere ghar k dar-o-bam sajane aye

us se ik bar to ruthun main usi ki manind

aur meri tarah se wo mujh ko manane aye

isi kuche main kai us k shanasa bhi to hain

wo kisi aur se milne k bahane aye

ab na puchungi main khoye hue khwabon ka pata

wo agar aye to kuch bhi na batane aye

zabt ki shahar-panahon ki mere malik khair

gam ka sailab agar mujh ko bahane aye

Parveen shakir ay khuda jab b

‘Parveen shakir’

Ay Khuda jab b tra asman dekhti hon

Us mn basa 1 jahan dekhti hon

Najane kitne hi jahanon ki sair krti hon

Khol kr jb tra Quran dekhti hon

Ehsan kitne hn Bandon pe tre

Jb b surah Rehman dekhti hon

Tu to kehta hy rag-e-jan se b hon mn qareeb

Phr Pareshan qn Aj ka insan dekhti hon

Uski Rehmat se kbi mayos na hona ay Insan

Tuj pe mn uski rehmat k nishan dekhti hon.

Tamaam log akele rahber hi na tha

tamaam log akele, rahber hi na tha

bicherne waaklon mein ik mera ham safer hi na tha

berhanaa shaakhon ka jungle gara tha aankhon mein

woh raat thi ke kahin chaand ka guzer hi na tha

tumhaare shaher ki her chaaon meherbaan thi mager

jahaan pe dhoop kari thi wahaan shajaer hi na tha

sameit leti shikasta gulaab ki khushboo

hawaa ke haath mein aisa koi huner hi na tha

mein itne saanpon ko raste mein deikh aayi thi

ke tere shaher mein pohanchi to koi der hi na tha

badan mein pheil gaya surkh beil ki maanind

woh zakhm sookhta kia jis ka chaara gar hi na tha

hawaa ke laaye hue beej phir hawaa ko gaye

khile the phool kuch aise ke jin mein zar hi na tha

kadam to reit pe saahil ne bhi na rakhne dia

badan ko jakre hue sirf ik bhanwer hi na tha

Gazal teray shaher teri soch say

,*”GAZAL”*,

Teray Shaher Teri Soch Say Nikal Jaon Gi,

Kisi Udaas Sham Main Dhal Jaon

Gi,

Tu Jo Mukar Gaya Hai Her Baat Say Apni,

Dekh Lena Eik Din Main Bhi Badal Jaon Gi,

Mat Dikha Muj Ko Apna Pasheman Chehra,

Jab Ke Tu Janta Hai k Main Pighal Jaon Gi,

Chahay Lakh Tarpon Tere Intzaar Main,

Mat Lot Ke Aana Main Sambhal Jaon Gi,

Tera Hona Itna Zarori To Nahi Hai

Ay jan.e,sapna

Main To Yaadon K Khilony Say Behal Jaon Gi.

~¤Akila Dill~¤

Dil kaa kyaa hai vo to chaahegaa

dil kaa kyaa hai vo to chaahegaa musal_sal milanaa

vo sitam_gar bhii magar soche kisii pal milanaa

vaa.N nahii.n vaqt to ham bhii hai.n adiim-ul-fursat

us se kyaa kahiye jo har roz kahe kal milanaa

ishq kii raah ke musaafir kaa muqaddar maaluum

dasht-e-ummiid me.n andeshe kaa baadal milanaa

daaman-e-shab ko agar chaak bhii kar le.n to kahaa.N

nuur me.n Duubaa huaa subah kaa aa.Nchal milanaa

Ko baku phail gaye baat shinasai ki

Ko baku phail gaye baat shinasai ki

Uss nay khusboo ki tarah meri pazeerai ki

Kaisay kah doon uss nay choor dia mujay

Baat tu sach hai mager baat hai ruswai ki

Woo kahin b giya lota tu merey pass aya

Bus yahi baat hai achi merey harjai ki

Uss nay jalti hoye pehshani pey jab hath rakha

Rooh tak aa gaye taseer maseehai ki

Aab b barsat ki ratoon mein baden toottah hai

Jaag utthi hai ajab khuwaishain angrai ki

Chaaraa gar haar gaya ho

Chaaraa – gar haar gaya ho jaise

Ab to marnaa hi dawaa ho jaise

Mujhse bichhRa tha vo pahle bhi magar

Ab ke yeh dard naya ho jaise

Mere maathe pe tere pyar kaa haath

Rooh par dast E sabaa ho jaise

YuN bahut haNs k mila tha lekin

Dil hi dil me woh khafaa ho jaise

Sar chhupaayeN to badan khulta hai

Zeest muflis ki ridaa ho jaise

Yeh haseen shaam apni abhi jis main

Yeh haseen shaam apni

abhi jis maiN ghul rahee hai

tere pairahan ki Khushboo

abhi jis maiN khil rahee hai

mere Khuwaab ke shagoofey

zara dair ka hai manzar

zara dair maiN ufaq pay

khiley ga koi sitara

teri simat dekh kar voh

karey ga koi ishara

tere dil ko aaey ga phir

kisi yaad ka bulava

koi qissa-e-judai, koi kaar-e-na_mukammal

koi Khuvaab-e-na_shagufta, koi baat kehney wali

kisi aur admi se humain chahiye tha milna

kisi aehad-e-meherbaaN maiN

kisi Khuvaab ke yaqeeN maiN

kisi aur asmaan par

kisi aur sarzameeN maiN

humaiN chahiye tha milna

Dil o nigaah pe kis taur ke

Dil O nigaah pe kis taur ke azaab utray

Wo maahtaab hi utra, na uske khaab utray

KahaaN woh rut K jabeenoN pe aaftaab utray

Zamana beet gaya unki aab O taab utray

Main usse khul ke miluN, soch ka hijaab utray

Woh chahta hai meri rooh ka naqaab utray

Udaas shab meN, kaRi dopaher ke lamhoN meN

Koi charaagh, koi suurat E gulaab utray

Kabhi kabhi tere lehje ki shabnami Thandak

Samaa’atoN ke darichon pe khaab khaab utray

Faseel E shehar E tamanna ki zard bailoN per

Tera jamaal kabhi surat E sahaab utray!

Teri haNsi meN naye mausamoN ki khushbu thi

Naveed ho K badan se puraane khaab utray

Supurdagi ka mujassam sawaal ban ke khiluN

Misaal E qatra E shabnam tera jawaab utray

Teri tarah, meri aankheN bhi mo’tabar na raheeN

Safar se qabl hi raston meN woh saraab utray!!

Andhairi raat ke lamhe tamam honay tak

Andhairi Raat Ke Lamhe Tamam Honay Tak,

Tujhe Hi Sochta Hun Subho Se Sham Honay Tak.

Main Aysa Jisam Hun Jis Ki Rooh Bhi Tu Hay,

Adhuri Zaat Hun Main Tere Naam Honay Tak.

Teri Awaaz Sun Na Lon To Dil Nahi Lagta,

Tarapta Rehta Hun Tujh Se Hum Kallam Honay Tak.

Teri Nazar Ki Qeemat Pe Bik Raha Hon Main,

Mujhe Khareed Le Tu Mehngay Daam Honay Tak.

Ishq Ki Aag Jo Seenay Mein Laga Bethay Hain,

Sataati Rehti Hay Ye Neendein Haraam Honay Tak.

Gulaab haath men ho aankh mein sitaaraa

Gulaab haath meN ho, aaNkh mein sitaaraa ho

Koi wujood mohabbat ka iste’aaraa ho

MaiN gahray paani ki is ro ke saath bahti rahuN

Jazeeraa ho ke muqaabil koi kinaaraa ho !

Kabhi kabhaar usay dekh leN, kahiN mil leN

Yeh kab kaha tha ke woh khushbadan hamaaraa ho

Qusoor ho to hamaare hisaab meN likh jaaye

MohabbatoN meN jo ehsaan ho, tumhaaraa ho

Yeh itni raat gaye kaun dastakaiN degaa

KahiN hawa ka hi uss ne na roop dhaaraa ho

Ufaq to kya hai dar-E-kehkashaaN bhi chhu aayeN

MusafiroN ko agar chaaNd ka ishaaraa ho

MaiN apne hissay ke sukh jiske naam kardaaluN

Koi to ho jo mujhe iss tarah ka pyaaraa ho

Agar wujood meN aahang hai to wasl bhi hai

MaiN chaahe nazm ka tukRa, woh nasr paaraa ho

Sabz madham roshani main surkh anchal ki

sabz madham roshani main surkh anchal ki dhanak

sard kamre main machalti garm sanson ki mahak

bazuon k sakht halqe main koi nazuk badan

silwaten malbus par anchal bhi kuch dhalka hua

garmi-e-rukhsar se dahki hui thandi hawa

narm zulfon se mulayam ungliyon ki cher char

surkh honton par shararat k kisi lamhen ka aks

reshami bahon main churi ki kabhi madham dhanak

sharmagin lahjon main dhire se kabhi chahat ki bat

do dilon ki dhrkanon main gunjti thi ek sada

kanpte honton pe thi Allah se sirf ek dua

kash ye lamhe thahar jayen thahar jayen zara

Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya

Shaayed uss ne mujhko tanha dekh liya hai

Dukh ne mere ghar ka rasta dekh liya hai

Apne aap se aankh churaaye phirti hoon main

Aayine mein kiska chehra dekh liya hai

Ab bhi sapne boye to eimaan hai uska

Usne in aankhon mein sehra dekh liya hai

Uss ne mujhe dar-asal kabhi chaha hi nahi tha

Khud ko de ker yeh bhi dhoka dekh liya hai

Uss se milte waqt ka rona kuch fitri tha

Uss se bichar jaane ka nateeja dekh liya hai

Rukhsat karne ke aadaab nibhaane hi they

Band aankhon se usko jata dekh liya hai !!

Parveen shakir main apni dosti ko

‘Parveen Shakir

Main apni dosti ko shaher main ruswa nahi karti

Mohabbat main bhi karti hon mager charcha nai karti

Jo mujhy say milnay aajaey Mai us ki dil sy khaadim hon

Jo uth ker jaana chahay, Mai usay rooka nahi karti

Jissy mai choor deti hon, usy phir bhoole jaati hon

Phir us hasti ki janib mai kabhi daikha nahi karti.

Tera israar sir aankhon py, Keh tum ko bhole jaaon mai

Main koshish ker ky daikhon gi, Mager waada nahi karti…’

aks e khushbu hun bikharne se

*’* Aks e Khushbu Hun, Bikharne Se Na Roke Koi,

*’* Aur Bikhar Jaon To Mujhko Na Samety Koi,

*’* Kanp Uthti Hun Ye Soch K Tanhai Men,

*’* Mere Chehre Pe Tera Naam Na Parhle Koi,

*’* Jis Tarah Khwab Mery Ho Gae Reza Reza,

*’* Is Tarah S Na Kabi Tut K Bikhry Koi,

*’* Main To Us Din Sa Hirasaan Hun Jb Hukm Mile,

*’* Khushk Phulon Ko Kitabon Men Na Rkhy Koi,

*’* Ab To Raah S Wo Shakhs Guzrta B Nh,

*’* Ab Kis Umeed S Darwazy S Jhanke Koi

Kya bat hy jis ka ghum b0ht

*Kya Bat Hy Jis Ka Ghum B0ht Ha,

*Kuch Din0 se Ye Ankh Purnam B0ht Ha,

*MiL Leta Hy GuftGu Ki Had Tk,

itna He Tera Kram B0ht Ha,

*Ghr Ap Hi Jagmga UtheGA,

Dehlez Pe ik Qadam B0ht Ha,

*MiL Jaye Agr Teri Rafaqat Mujh Ko,

To Yhi janam B0ht Ha,

*Kya ShUB Se Hamy SwaL Krna,

H0na Tera SuBh Dam B0oHT Ha,

*Q BuJHne Lage ChiraGH Mere,

Ab k To Hawa B Kum Bo0ht Ha,

*ChuP Q Tujhe Lag Gayi Hy

”ParVeeN’

SuNty Thy K TuJh Me Dam Bo0ht Hy*

Wo to khushbu hai hawaon main bikhar

wo to khushbu hai hawaon main bikhar jayega

masla phul ka hai phul kidhar jayega

ham to samjhe the k ek zakhm hai bhar jayega

kya khabar thi k rag-e-jan main utar jayega

wo hawaon ki tarah khanabajan phirta hai

ek jhonka hai jo ayega guzar jayega

wo jab ayega to phir us ki rafaqat k liye

mausam-e-gul mere angan main thahar jayega

akhir wo bhi kahin ret pe baithi hogi

tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

Wo mujh sy pooch raha tha batao

Wo mujh sy pooch raha tha batao kysa laga, tum agley zakhmon ko choro ye ghao kysa laga…Ajab sawal kya andhion ny paton sy, shajar sy toot k girna batao kysa laga.

Lamho mein jo kat jae wo kya

lamho mein jo kat jae

lamho mein jo kat jae wo kya jindagi

aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi

jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai

jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi

Tum mujhko gudya kahte ho thik hi

tum mujhko gudya kahte ho

thik hi kahte ho ,

khelne wale sab haathon ko main gudiya hi lagti hun,

jo pahnado mujhper sajega..

mera koi rang nahi..

jis guddey ke haath me do..

meri kii se jung nahin

soti jaagti aankhen meri,

jab chaho beenayii le lo,

kook bharo or baatein sun lo..

ya meri goyaayiee le lo,

maang bharo seene se lagao

pyar karo aankhon me basao

or jab dil bhar jaaye

toh

dilse uthaker taak pe rakh do

TUM MUJHKO GUDIYA KAHTE HO

THIK HI KAHTE HO”

Ek na ek roz to rukhsat karta

Ek na ek roz to rukhsat karta

Mujh se kitni bhi muhabbat karta

Sab ruteN aake chali jaati haiN

Mausam E Gham bhi to hijrat karta

BheRiye mujh ko kahaaN pasakte

Woh agar meri hifaazat karta

Aur us se na rahi koi talab

Bas mere pyaar ki izzat karta

Mere lehje meN Ghurur aayaa tha

Usko haq tha k shikaayat karta

Parveen shakir jitna bhi uss ko

‘Parveen Shakir’

Jitna bhi uss ko soochon utna hi

door paaon.

Jitna bhi uss ko chaahon khud hi

bikherti jaon.

Main aam si

musaafir be-aas

be-sahara.

Woh door basney

wala aik aasmaan

ka taara.

Main rait sey

ulajhti sehraaon

ki hawa hon.

Woh saahiloon pe

chalta baad-e-

saba ka jhonka.

Haan farq to bohat

hey par baat yeh

faqat hey.

Main laakh toot

jaon khud hi sey rooth jaaon.

Par yeh na ho ga

mujh sey k main

uss ko bhol jaon.

Kuch faisala to ho k kidhar jana

kuch faisala to ho k kidhar jana chahiye

pani ko ab to sar se guzar jana chahiye

har bar aeriyon pe gira hai mera lahu

maqtal main ab ba-tarz-e-digar jana chahiye

kya chal saknge jin ka faqat mas’la ye hai

jane se pahle rakht-e-safar jana chahiye

sara jwar-bhata mere dil main hai magar

ilzam ye bhi chand k sar jana chahiye

jab bhi gaye azab-e-dar-o-bam tha wahi

akhir ko kitni der se ghar jana chahiye

tohamat laga k man pe jo dushman se dad le

aise sukhanfarosh ko mar jana chahiye

Best combination of two great poets

Best combination of two great poets!

Faraz says:

usay hum yad aatay hain mager fursat k lamhon mein.

Magar ye baat bhi sach ha usay fursat nahi milti.

Perven shakir says:

hum tasleem kartey hain humain fursat nhi milti.

Magr ye bhi zra socho tumhain jb yad kartey hain zamana bhol jatey hain…*?

Shab wahi lekin sitara aur hai ab

Shab wahi lekin sitara aur hai

ab safar ka isteaara aur hai

mauj ke murrne mai kitni der hai

naao daali aur dhara aur hai

sukh k mausam unglyon par gin liye

fasl e gham ka ghoshwara aur hai

dair se palken nahi jhapki meri

teshe jaan ab k nazara aur hai

aur kuch pal uska rasata dekh loon

aasma’n par aik tara aur hai

sath to mera zamee deti magar

aasma’n ka hi ishara aur hai

Parveen shakir ma teri khawabon ki

(Parveen shakir)

mA Teri Khawabon ki Dulhan bAn KAr,

Apnay Ap ko Ban Sawar Kr

Ghogat Nikal Kar

Maathey Pay jumka Lagha kar

Aankhoon MAy Kajal LAga KAr

Kanoo MA bAaliyaan Pehan KAr

Hathoon MA GAjre Pehan KAr

Shooq Se Choriyaan Pehan Kr

Hathoon MAin Mehandi Ki KHusboo Le KAr

PAaon MAin PAAyaL Pehan KAr

Apni ZulfOon Ko KHul KAr

Aaine K Samne Khare Ho KAr

Apne Ap Ko Teri ChAahat MAin Daikh KAr

Har Din Ghanto Tera Intezaar KAr K

HAr Aahat PAr Chonk KAr dArwaze Ki

TAraf LOOt KAr

Phir Ek LAmbi AAh Bhar KAr

Thak Si Jati Hoon

Phir KArwat Badal KAr

Aik Odasi Ourh KAr sojati HoON

diN MAin Kitni BAr Teri dULhan bAn KAr

Naajane Kitni Baar Din MAin

SAjti Hoon

Kitni Baar Tere Khawaboon ki

Dulhan BAnti Hoon

Kitni BAar Apne Ap Ko Dhoka Deti Hoon..