Ban ke rehty they jo Mazi mein Ujalon ki tarah

Aaj kitabo’n mein hain wo log Hawalon ki tarah

Shab e tareek mein ye bikhry huwe taary dekho

Kisi ulfat mein uljhy hain Khyalon ki tarah

Maykash kiya hai teri ulfat ne mujhe

Teri yaadein hain Sagar k Pyalon ki tarah

Raah e ulfat mein kai Log toot kar bikhry

Dunya karti hai unhein pesh, Misalon ki tarah

Jab se khayen hain Zakhm Teri Mohabbat Mein

mOhs!n

Nigahen mujh pe uthti hain Sawalon ki tarah. .*