Wo taqaaza-e-junoon ab ke bahaaron mein na tha

Aik daman bhi tou uljha huwa khaaron mein na tha

Marney jeeney ko na samjhey tou khata kis ki hai

Kaunsa hukam hai jo un ke ishaaron mein na tha

Har qadam khaak se daman ko bachaya tum ne

Phir shikwa hai ke mein rahguzaaron mein na tha

Tum sa laaakhon mein na tha ai jaane tamanna lekin

Hum sa mehroom-e-tamanna bhi hazaaron mein na tha

Hum kartey na agar zabt-e-faghaan tou kia kartey

Purshas-e-gham ka saleeqa bhi tou yaaron mein na tha