Muhabbat jhoot lagti hay mujhay

ik khookhla jazba

jisay izhar ki her waqt khuwahish hoo

kahay janay ki

sunanay ki

jisay her pal zaroorat hoo

‘mujhay tum say muhabbat hay’

na janay rooz kitnay loog

is jumlay ko sunnnay k liyay baidar hotay hain

ye aisa jhoot hay jis ka sehr

sadioo’n say tari hay

magar janaa’n

muhabbat jab kabhi izhaar ko tersay

koi tum say ager kahday

‘mujhay tum say muhabbat hay’

to us ki baat mat sunnana

muhabbat rooh say phootay

muhabbat aks ban jaye

to phir tum ko yaqee’n aye

k main nay sach kaha tum say

muhabbat rooh ban jaye

to phir us ka yaqee’n kerna

werna aik jumla koi kitni baar duhraaye

kahay jayee

NAHIN SUN’NA

muhabbat jhoot hay janaa’n

ager izhaar ki is ko zaroorat hoo…. !!