Hum se ulhaj rahay hain woh log aaj kal

Be-chainiyian khareed lain jin ko sanwaar ker

Aa ker bahaar ne sitam aur bhi dhayae

Sehmay huay thay hum khizaan ke sulook per

Kaisee yeh sar-sarahatain aati hain chaar soo

Kitnay nishaan parain ge abhi aur zaat per

Keh do na dain pukaar hamaray naam ki

Jayain ge hum kahan is chaman ko chor ker

Kiya ho giya jo har taraf hain sookh ke nishan

Ab ke bahaar jayai gi na in ko chor ker

Be-rehmi,gardish-e-halaat, aye dil

Rehti nahi sada, jati hai chor ker