nikale the kahan jane ke liye pahunche hai kahan malum nahi,

ab apne bhatakte kadamon ko manzil ka nishan malum nahi,

barbaad wafa ka afsana hum kis se kahen aur kaise kahen,

khamosh hai lab aur duniya ko ashqon ki zuban malum nahi,

dil shola-e-gham se khaak hua ya aag lagi armaanon mein,

kya cheez jali kyun seene se utha hai dhuan malum nahi,

humne bhi kabhi is gulshan ka ek khwaab-e-bahaaran dekha tha,

kab phool jhare,kab gard udi kab aayi khizaan malum nahi.