Jahane Shoq mein Takmeel e Zindagi kya hia

Na ho jo gham hee mayyassar to phir khushi kya hia

Ye tarz e fikr-e-Hussaini hai beybasi kya hai

Ab aadmi ko bata na hai aadmi kya hia

Faqat ye rooye haqeeqat se utth gaya parda

Gham e Hussain se duniya ko Dushmani kya hia

Habib ibn e Mazahir bhi ek sipahee they

Bataney aaye they mayaar e Dosti kya hai

Hansi na rok saka Hurmalla (Maloon) ka teere sitam

Bata gaye Ali Asghar(A.S) ke tashnagi kya hia

Vigha ke waastey Abbas(A.S) izn lena sakey

Ab is se barkey koi aur beybasi kya hai