EHSAN HAI MADAR E ALI A.S KE AAP KAABAY MEIN CHALI AYEIN
KUCH DAIR AUR HOTI TO KAABA KHUD CHALA ATA
Karbala SMS – Shia SMS
EHSAN HAI MADAR E ALI A.S KE AAP KAABAY MEIN CHALI AYEIN
KUCH DAIR AUR HOTI TO KAABA KHUD CHALA ATA
Jenday Man Day Andar Aal e Nabi (A.S) Da Aehtiram Nahi
Howay Koi Bashar Mola Ali (A.S) Da Jay Ghulam Nahi
Bhawein Koi Howay Namazi Zikar e Ali (A.S) Tay Howay Na Razi
Rab Di Qasam Man Ya Na Man Oh Banda Laiq e Salam Nahi
*. . .Pehla rahe hain is liye kashkol e bindagi,
sanso ko karbala ki hararat ka shoq hai.
Janat ki aarzo nahi jeete hain is liye,
Shehr e hussain (a.S) teri ziyarat ka shoq hai.
#Salam ya sakhi Hussain a.s. . .*
*. . .H U S S A I N a.s . .*
H : Hosne Yusof se Haseentar,
U : Ummidon Ki Panah Gah’
S : Sajjda-e-Ishq Ki Intaha,
S : Sabar Ki Akhri Manzil
A : Akhirat Main Bakhshish Ka Wahid Raasta’
I : Insaaniat Ki Darsgah,
N : Nawasa-e- RASOOL (S.A.W)
Phir bhi Pochtey Hain Log
*. . .HUSSAIN. . .*
Kon hai. . .??
Tazkira Fatima Zehra (S.A) Ka Zara Ho Jaye
Kya Haqeeqat Hai Zamanay Ko Beyan Ho Jaye
Us Se Allah o Nabi (S.A.W.W) Ho Nahi Saktay Razi
Jis Se Shahzadi e Konain (S.A) Khafa Ho Jaye
Khatam Hai Duniya Ki Tareekh e Wafa Abbas (A.S) Per
Ibtida Jis Se Bhi Ho Haan Intiha Abbas (A.S) Per
Sari Duniya Ko Nusairi K Khuda Per Naaz Hai
Naaz Karta Hai Nusairi Ka Khuda Abbas (A.S) Per
Chadar e Tatheer Thora Aur Barh Jati Agar
Ek Sira Zainab (S.A) Pe Hota Doosra Abbas (A.S) Per
Buron Ko Jab Bura Likhna Paray Ga
Fidak Ka Waqiya Likhna Paray Ga
Agar Sachon Se Nisbat Ka Hai Dawa
Ohad Mein Kya Huwa Likhna Paray Ga
Teray Maslak Mein Gar Biddat Hai Rona
Toa Qisa Ghaar Ka Likhna Paray Ga
Agar puchtay ho mera aqeeda to ghor se suno.,
Sajda-e-KHUDA ke baad meri ibadat Matam-e-HUSSAIN (A.S.) hai
.*.sAlAaM yA hUsSa!N a.S.*.
*. .Ishq~E~ALi a.s H0 T0 Ibadat QabuL He,
Wrna Hazar Sajdy Kr0 Sub FuzuL he,
Ishq~E~ALi a.s DiL K0 Itni Safai Dy,
K DiL Aaina Bney T0 NajaF Dkhai De. .*
Duniya na Samjhi Ay Logo! Yeh Falsafa
Percham Hai Surkh Goombad-e Ibn-e Batool Ka
Yaani Ruki Nahi Hai Abhi Jang-e Karbala
Aur Aa rahi Hai Roza-e Abbas se Sada
Roukay ga nahi tab, Mujhko Nawasa-e Rasool
Mahdi ke saath lounga mai Badla-e-Batool
Dekha Haider (A.S) Ne Jo Shabbeer (A.S) Ka Abbas (A.S) Se Pyar
Muskura Kar Kaha Betay Se Pidar Tum Pe Nisar
Chhoty Bhai Ka Koi Naam Bhi Rakha Zinhaj
Ki Hussain Ibn e Ali (A.S) Ne Yeh Ali (A.S) Se Guftar
Hifz e Toheed Ka Akaas Kahein Gay In Ko
Baba Hum Aaj Se Abbas (A.S) Kahein Gay In Ko
Hussain Ghum Mia Teray Kaynaat Roti hae
Nekal k Rota hae Din chup k Raat Roti Hae
MATAM-E-HUSSAIN
Yah HUSSAIN(AS)
.*.sAlAaM yA hUsSa!N a.S.*.
Jo insan dosron par zulam kar tha hay vo khud b zulam say mehfoz nahi reh sakta.
HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA S.A.W.W.
Isa (A.S) Bhi Hai Khuda Ka Bara Moqtadar Nabi
Bakhshi Hai Us Ki Sans Ne Murdon Ko Zindagi
Lekin Hussain (A.S) Kis Se Beyaan Ho Yeh Bartari
Isa (A.S) Hai Teray Aakhri Naib (A.S) Ka Muqtadi
Jis Khaak Per Hussain (A.S) Tu Sajda Ada Karay
Us Khaak Se Maseeh Bhi Hasil Shafa Karay
Badli Musibatoo ki jo chaai thi Chhatt gaee
Muskil meri Hayyat kay rastay say hatt gaee
May nay Ali(A.S) ka nam liya jab jalal mei
Ghabra kay meri mout bhi wapas Palat gaee
Bazam e Rasool (S.A.W.W) Mein Aesay Bhi Hum Ko Shajar Milay
Saya Mila Na Jin Ka Na Jin K Samar Milay
Sara Jalaal Soorat e Peshab Beh Gaya
Usman (L.A) Pehli Jung Mein Hi Tarbatar Milay
SHABAN Musarrat Ki Khaber lai hai… Ghr mai SHABEER (A.S) k Mehakti Seher aie hai.. Gulshan-e-PANJETAN A.S)Pe bahar aie hai.. HASSAN(A.S) K Ghr QaSiM (a.s)Tashreef Laye Hn…. Jashan e Am’mad- e- Shahzada QASIM A.S) Boht Boht MubaraK Ho
Insan Gunah Kerne Ki Waja Se Jahanum Mein Nhi Jata Bal Keh Gunah Per Mutmaen Rehny Aur Tauba Na Krney Ki Waja Se Jahanum Mein Jata Hy.
HAZRAT ALI AS
Quran e Mustafa (S.A.W.W) Ki Haqeeqat Hain Fatima (S.A)
Mairaj Mein Jo Utri Woh Aayat Hain Fatima (S.A)
Hain Aalmeen K Liye Rehmat Rasool e Paak (S.A.W.W)
Aur Khud Rasool (S.A.W.W) K Liye Rehmat Hain Fatima (S.A)
Hasnain (A.S) Maa K Qadmon Mein Baithay Hain Is Liye
Jannat K Shahzadon (A.S) Ki Jannat Hain Fatima (S.A)
Nazil Huwa Jo Aaj Muhammad (S.A.W.W) Ka Noor Hai
Munkir Hai Jo Bhi Is Ki Hikayat Se Door Hai
Chehray Munafiqon K Hain Jal K Sookhtay
Duniya Mein Aaj Haider (A.S) Ka Zahoor Hai
Yeh Chand Qayamat Hai Zehra (S.A) K Gharanay Per
Teyar Azadar Hain Phir Ashk Bahanay Per
Shayed Na Milay Tujh Ko Phir Agla Baras Momin
Har Waqt Guzaar Apna Is Gham Ko Mananay Per
Meray liay yeh bath baais fakhar nahi keh min Nawasa e Rasool (SAWW) hon balkay yeh bath baais fakhar hay ki min apnay Mazlom Dada Imam Hussain A.S. Ka Azadar hon. IMAM MUHAMMAD BAQIR A.S.
ROZE SHAHDAT E IMAM MUHAMMAD BAQIR A.S. K MOKA PAR TAMAM ALAM E ISLAM KO HADYA TAAZIAT PESH KARTHA HON .
Tarekh Ne Ek Sawal Uthaya K Jb SHEHZADA E ALI ASGHAR Ko Teer Lga To Wo Roya Q Nh?
Wahan Pr Arz Kia Hai Shair Ne K
Tamseel Men Ismat Ki Kali Kon Kahay Ga,,,
ASGHAR Ko Wali Ibn e Wali Kon Kahay Ga,
Is Wastay Khaya He Is Teer Ko Hans K,
Medaan Men Roya To ALI Kon Kahay Ga?
Slam
Krbla k nanhy sipahi
Jo Dunia ki Khidmt Krta hy Dunia Usy apna Nokr bna leti hy
Jo Allah ki Bandgi krta hy to Allah Dunia ko us ka Nokr Bna Deta hy’
(HAZRAT ALI .A.S)
Kch Log’SHABIR’ Ka Gham Q Nhi Krty
Dunya Ki Musrt Ko Kbhi Km Nhi Krty
Malom Hova Hafi e Sheraz Ko Yh Raz
Qatil Kbhi Mqtol Ka Matam Nhi Krty.
IMAM ALI RAZA a.s.
MOMIN JB KISi MOSIBAT PAR SABR KARTA HE TO UN KO HAZAR SHAHIDON KA AJR MILTA HE.
Ref.’Jalooi noor’ p#284
Deta Ho Aseeri Mein Jo Pegham e Rehayi
Tareekh Mein Aesa Koi Qaidi Bhi Kahan Hai
Bazar Mein Abid (A.S) Ko Guzartay Huway Dekho
Zanjeer Ki Jhankar Bhi Akbar (A.S) Ki Aazan Hai
Sakeena (s.a.) bibi tumhare ghulaam haazir hain.
Bujhe jo pyaas to ashqo’n k jaam haazir hain.
…Bache to agle baras hum hain aur ye ghum phir hai.
Jo chal base to ye apna Salaam-E-Aakhir hai
Har Raat Ibn e Haider o Zehra (A.S) Ki Yaad Ho
Har Din Zahoor e Wali o Aaqa (A.S) Ki Aas Ho
Ek Aur Eid Aa Gayi Mola (A.S) Nahi Aaye
Bas Yeh Khayal e Dard o Alam Sath Sath Ho
Hazrat Imam Maola Ali ‘a.s’ nay aik sail k sawal par har Mah k Akhri 4 shanbah {BUDH} Ki muzamat krtay howay chand Waqiyat biyaan kiye
Or frmaya k har mah ka akhri Shanbah Nijas hota he
1= Akhri 4 Shanbah ko Qabil nay apnay Bhai Habil ko Qattal kia tha
2= usi rooz Hazrat Ibraheem ‘as’ ko Aagh men Dala gaya tha
3= Usi rooz khuda nay firo’on ko Gharq kia
4= Usi rooz khuda nay Qaom e Aad ki tarf HAWA ka azaab behja tha
5= Usi rooz ki jab subah howi to zameen jal kr siyah ho choki thi
Kitaab: Ellam w Hikmat k maoti
HAZRAT IMAM ZAIN UL ABIDEEN {A,S} KA FARMAAN HE K
Jo chezeen dua’oun k Qabool na honay ki sabab banti hen un men se ye bhi hen
1= bad neti
2= Khabas batni
3= Brodran deni k saath monafqat
4= Qaboliyat dua par aitqaad na rakhna
5= Wajib nimazon ko un k waqat par na parhna our un men itni takheer krna k un ka waqat hi ghuzar jai
6= Sadqa w ahsaan na kr k taqrab ellahi allah ko choorh dena
7= Fehsh baaten krna our raftaar men burai paida kr lena
Reef: Ma’ani al khabaar
S#271
When Imam Ali was asked about Faith in Religion, he replied that the structure of faith is supported by four pillars endurance, conviction, justice and jihad.
Yeh Toa Sach Hai K Jhuk K Uthaya Pani
Aur Sach Yeh Bhi Hai Chullu Se Giraya Pani
Is Haqeeqat Ka Toa Dariya Bhi Nahi Hai Munkir
Pyasay Abbas (A.S) Ne Dariya Ko Pilaya Pani
‘HUSSAINYAT’ Se Takrane k Lye Kam Se Kam Yazeed Jitna Hosla ChahYe,
Jo Qayamt Tk LANAT Bardasht Kr Sake. . .*
Shaheed Mohsin Naqvi
Aa tu bi maang Le Dar-e-Shabbir se Shifa,
Hikmat mery Hussain A.S ki Wasi-o-Areez hai,
itna barra Tabeeb he ZEHRA S.A ka LadLa
Fitras mry Hussain A.S ka pehla mareez he.
Maan Ki Aaghosh Mein Woh Jaam Piya Hai Main Ne
Lab Hilay Toa Ali (A.S) Naam Liya Hai Main Ne
Aur Mili Qoowat e Junbish Jo Meray Hathon Ko
God Mein Matam e Shabbeer (A.S) Kiya Hai Main Ne
Hathon Mein Jis K Donon Jahan Ka Nizaam Hai
Woh Sari Kainat Ka Pehla Imam (A.S) Hai
Abu Talib (A.S) Ka Jahan Mein Jisay Irfan Nahi
Meray Nazdeek Woh Hewan Hai Insan Nahi
Ho Jis Aaghosh Mein Barh Kar Khatam Aal e Naboowat (A.S)
Aaj Kehtay Hain Log Usay Musalman Nahi
*. .Mohammad Baqir ‘as. .*
‘Bay Shak Hamara Zikr KHUDA Ka Zikr.,
Aor Hamaray Dushman ka Zikr, Zikr_e_Shaitan Hy. . .*
Ref=Barul Anwar,Jild#75,Page#468. .*
Elam ki talab min jaldi utho Q K jaldi uthnay min barkat or nijat hay har cheez ka ek rasta hota hay or janat ka rasta elam hay.
Hazrat Muhammad Mustafa SAWW
‘MIR ANEES’
Tamanna thi k Pevand_e_ Zamin_e_Karbala hotay…
Agarchay Khaak he hotay mgr Khaak_e_Shifa hotay.!
HAZRAT MOHAMMAD(saww)
Nay
Farmaya:
‘Jab Meri Ummat Main Bid’atein Phoot Parein To Aalim Ki Zimedari Hai Kh Apny Ilm Ko Zaher Karay Or Jo Aisa Na karay Os Pay Lanat Hain’
REFERENCE:-
Usool-E-kafi volume No.1
Page#54.
*. . .Dunya musafir’khana hy magr.,
bad’bakhton ne issay apna watan bna lia hai. . .*
IMAM ALI IBNE ABI TALIB (A.S)
Kab Maskh chedi yaad hai Abbas(a.s) ko Lekin
Kab kat gae shaane ye unhe yaad nahin hai
Main hoon dar-e-Abbas(a.s) hai aur meri Jabeen hai
Humrah-e-imam ayain gen Abbas(a.s) bhi Ek Din
Is baat ka her toote hue dil ko yaqeen hai
Main hoon dar-e-Abbas(a.s) hai aur meri Jabeen hai
Zakhmi hai magar Karbala kitni haseen hai
Jannat kahin Duniya mein agar hai to Yahin hai
Main hoon dar-e-Abbas(a.s) hai aur meri Jabeen hai
Hazoor (S.A.W.W) Ka Irshad Hai..
Jo orat Nange Sar Ghar Se Bahir Jay or Ghair Mardon Ki Nazar Us orat Pe Pare To Us K sath 3 Aadmi Jahannum Mein Jain Gay..
1:Us Ka Baap
2:Us Ka Shohar
3:Us Ka Bhai..
4wrd This Msg To All People and Protect Ur DauGhter, Wife,
and sisters
*. . .Wapis madiney laut kay aye na phr HUSSAIN (a.s)
Ya RUB kisi ghareeb ka aisa safar na ho. . .*
*. . .28 Rajab rawangi e kafla e IMAM e Mazloom. . .*
Mizan e Jahalat Mein Gohar Tol Raha Hai
Pemana e Tableegh Mein Zehar Ghol Raha Hai
Agar Koi Ya Ali Madad (A.S) Kehnay Se Rokay
Samjh Lo Insan Nahi Shetan Bol Raha Hai
*. . .Har aany waly ko paltna hy,
Aur jb palat gia to jaisy kbe tha he ne. . .*
Imam Ali (A.S)
Qatil Ne Lagayi Sar e Muslim (A.S) Pe Jo Shamsheer
Sar Kat K Pukara Main Fida e Sar e Shabbeer (A.S)
Kothay Se Giraya Jo Tan e Muslim e Dilgeer (A.S)
Ya Haider e Karaar (A.S) Kaha Aur Kehi Takbeer
Qatray Toa Giray Khoon K Daman e Nabi (S.A.W.W) Mein
Sar God Mein Zehra (S.A) Ki Tan Aaghosh e Ali (A.S) Mein
*. . .Kaha Kerti Thin RUBAB s.a Aksar Zindan Main Aseeron Say.,
‘Bach Jata Jo Mera ASGHAR a.s To Ab Chalnay Laga Hota. . .*
.*.sAlAaM yA hUsSa!N a.S.*.
‘Jis nay ghusay ko rok lia Khuda us say apnay azaab ko rok leta hy or jo apni zaban qabu min rakhtha hay Khuda us k aybon ko chupa leta hay.
HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA S.A.W.W.
Azmat e Deen e Mustafa Zainab (S.A)
Hubahu Shakal e Fatima (S.A) Zainab (S.A)
Ae Azadar e Shah (A.S) Jeetay Raho
Hum Ko Deti Hain Yeh Dua Zainab (S.A)
Kab Ka Islam Kho Chuka Hota
Ghar Ka Deti Na Agar Pata Zainab (S.A)
Kar K Qurban Ghar Ka Ghar Apna
Tum Ne Kaba Bacha Liya Zainab (S.A)
‘ALI ki Muhabat Emaan
Or Ali Se Bughz kufir Hy’
‘ALI Mujh Se Hein Or Me
ALI Se Hon’
‘ALI Roshan Chehron
Walon k IMAM Hein’
‘Meray Bad ALI Hr
Momin k Wali Hein’
‘Har NABI ka koi Na
koi WASI Hota Hy, Mery
WASI ALI ibny ibi TALIB
Hein’
Hazrat Muhammad
(S.A.W.W)
Reference:
1. Muslim Jild 1 , Page 61 .
2. Bukhari Jild 3 , Page 168.
3. Kanzul Aamal Jild 5, Page 34.
4. Tareekh-e-Damishk Jild 3, Page 5.
Aankhon Ko Koi Khwaab Tou Dikhayi De
Tabeer Me Imam Ka Jalwa Dikhayi De
Aye ! Ibn-E-Murtuza Tere Saamne
Suraj Bhi Ek Chota Sa Zarra Dikhayi De
Framan HAZRAT MUHAMMAD MUSTAFA S.A.W
Apny ba’ad mujhe apne umat se jin chezon ka khatra he. Wo he haram karobar, poshida khuwahishat or sood..
Ref: Mezan al hikmat j:1 p:245
Haider (A.S) Ko Jo Khaliq Ka SELECTED Nahi Kehtay
Hum Un Ko Muhammad (S.A.W.W) Se CONNECTED Nahi Kehtay
Mashkook ELECTION Se Banay Jo Bhi Khalifa
Hum Us Ko Shariyat Se ATTESTED Nahi Kehtay
Wilayat ka parcham uthao Ali Ali kar ke,
Dilon ki piyas bujhao Ali Ali kar ke,
Hai dane dane pe mohar e Ali khuda ki qasam,
khuda ke rizq ko khao ALI ALI kar ke,
khuda bhi razi khuda ka rasool bhi razi,
Naseeb apne jagao Ali Ali kar ke,
tum mushkilon ko bhagao Ali Ali kar ke,
Likha na ho jo muqaddar me wo bhi mil jaye,
Dar-e-Hussain per aao Ali Ali kar ke.
Naar e hydari…
Mit Nahi Sakta Kabhi ‘Makhmoor’ Gham ABBAS a.s Ka,
NAQSH _E_ SAJDA Ban Chuka Hai Her Qadam ABBAS a.s Ka,
Jab Musalmaan Bid’at’ain Keh Kar Alag Ho Jaen Gy,
Ho K Hindu Hum Uttha’ain Gy ALAM ABBAS a.s Ka…
By Hindu Poet ‘Makhmoor Daas’
Mere Mola Qabar meri uS jaga Tameer ho
Hazrat-e-ABBAS GHAZI ki jahan Jageer ho
Arzoo meri hy k Dar-e-SHABBIR pe
Hazrat-e-HUR Ki trha RoShn APNi Taqder ho. .*
*. . .Duniya mein wohi log sarbuland rahetay hein.,
jo Takabbur k taaj ko door phaink daite hein. . .*
Mola Imam-e- ALI (a.s)
Yazeed Ki 3 Sala Hakomat:.
1st Year: Nawasa e Rasool Imam HUSSAIN a.s Or As’hab Ka Qatl, Bibi’on Ko Qaid
2nd Year: Madina Pr Hmla Or 1000 Se Ziyada Khawateen yazedi FoUj K Hathon [ HAAMLA ] Huen,
10,000 ShEhri MaAr Dey Gae.
MASJID-E NABVI Me Azan o Namaz Pe Pabandi.
3 Din Ghoray Or 2sre Janwr Masjid Nabvi Me Bandhy Gai.
3rd Year:
MAKKAH Pr Hmla Or KA’ABA Ko Jalaya Gaya.
Or Islam Ki Azmat Ko Pamal Kia Gaya.
Yazid Ne YE Bi Kaha K
MOHAMMAD Ki Nabowat Bani HAsHiM Ka ek Dhong Tha Na Koi Wahi Aai Or Na Koi Farishta Aaya Tha.
br yazeed laanat beshumar.
Ref:. 14sitaray and karbala se karbala tak.
Ameer-ul-Momineen Hazrat ALI (a.s) Ne Frmaya;
‘Jis Ne Apni Zabaan Ki Hifazat Ki ALLAH Uski Izzat Ki Hifazat Kre ga.’
Mshkt-ul-Anwar pg#408
*. . .Narazgi ky aalam mai kisi choti bachi ky mounh par tamacha na marna,mujhy meri Sakina s.a yad ati hn.
.
Imam Hussain a.s
( Allama Iqbal says : )
Keh do Gham-e- Husain Manany walo ko,
Momin Kbhi Shohada ka Matam nhi krte
Hy Ishq Apni Jan se zyada Aal-e-Rasol se
Yun Sar-e-Aam Hum Unka Tamasha nai krty
Roein wo jo munkir hain shahadat-e-HUSSAIN k,
Hum zinda-o-javaid ka matam nahi kertay…
Wo blundi ha ‘ALI’
jaha koi ja nai skta
Hr ksi k zrf me ALI sama nai skta
Jis ALI ko janta ha KHUDA or uska RASuL
Monafiqon ki smaj mai wo ‘ALI’aa nai sakta.
*. . .BE-NAMAZI’ Insan Duniya k Liye ‘MOMIN’ ho Sikta hai, __Hamary Nazdeek ‘MUSHRIK’ hai.
Imam JAFAR SADIQ ‘A.S’
Ref: JaLwa-e Noor.
Qandil-e-Shabistan e-Manajat-e-Imamat.
Wo Zabt K Khud Hosla Mandi main Qayamat
Wo Azm-e-Musalsal K Msa’eb main Slamat
ZAINAB(s.a) hai Shariyat k TaQaddus ki Alamat
Ay FATIMA ZAHRA(a.s) Teri Taqdir Bhali hai
Baitay Jo ‘MOHAMMAD'(s) hain,
Tou Beti Bhi ‘ALI'(a.s) hai
‘Daleel_e_Fatah To Dekh Ay HUSSAIN K Qatil,
K Jiss Sir Ko Jhukanay Aa’ay Thay,
Ussi Sir Ko Utha Ker Chalay’
(ALLAMA IQBAL).
Loh Per Sabar Ki Tehreer Hain Mislay Zainab (S.A)
Aur Hamsheera e Shabbeer (A.S) Hain Mislay Zainab (S.A)
Jin Ka Ek Naam Hai Tareekh Mein Umm e Kulsoom (S.A)
Fatima Zehra (S.A) Ki Tasveer Hain Mislay Zainab (S.A)
Roye wo jo Husain ki shahadat k munkir hain.
Jo shaheed hogya phir maatham keisa???
Na janay Qiyun meri aankon main aa gaye ansoo,
Sikha raha tha main bachay ko Qarbla likhna…!
(Allama Iqbal)
Mahatma Gandhi
“My faith is that the progress of Islam does not depend on the use of sword by its believers, but the result of the supreme sacrifice of Hussain (A.S.), the great saint.â€
Dr. Rajendra Prasad
“The sacrifice of Imam Hussain (A.S.) is not limited to one country, or nation, but it is the hereditary state of the brotherhood of all mankind.â€
Jab Gardanen jhuki hon to Sir kaat-ty hen Log
Jhukta Nhi Wo Sir jo Sda Sarfraz ho
Sir katna HUSSAIN ka Aasan Nhi tha
QatiL B Muntizar tha k WaQt-e Namaz ho.
Salam
Ya Hussain r.a.
Hayat Lmha Ba Lamha Karam
HUSSAIN a.s Ka Hai
Nijaat Ka Hai
WASILA To GHAM
HUSSAIN a.s Ka Hai
Nishan_e_ Sajda Na Takra Nishan _e_
MATAM Se
Namaz Parhty Ho Ye B Karam
HUSSAIN a.s Ka Hai
Ye Keh K Chor Diya Qaber Me Farishton Ne
Na Daingy GHAM
Isse Pehly Hi GHAM
HUSSAIN a.s Ka Hai.
Agar Kisi Dil Mein Buqhz e Ali (A.S) Ki Dhool Ho Gi Janab e Wala
Toa Phir Aqeeday Ki Har Ada Be Asool Ho Gi Janab e Wala
Agar Kisi Se Ba Roz e Mehshar Khafa Khafa Ho Nabi (S.A.W.W) Ki Beti (S.A)
Toa Phir Bahisht e Bareen Ki Khuwahish Fazool Ho Gi Janab e Wala
Baray tofanon say larna agia jab jab lia ALI (AS)Ka Nam
Sari Mushkilain khud ho gain asan jab jab lia Ali (AS)ka Nam
Insan ki fitrat us kay chotay chotay kamon say zahir hoti hay Q K baray kam vo hamesha soch samaj k he karta hay (Imam Hassan A.S.)
Jo Murtaza (AS) ki ziarat ka khawab rakhtay hin Wo apnay hissay min solid sawab rakhtay hin
Ho door pay tehreer jis k Nad-e-ALi
Wo ghar min lamp nahi aftab rakhtay hin
Khoon Se Chiragh Deen Ka Jalaya Hussain (A.S) Ne
Rasam e Wafa Ko Khoob Nibhaya Hussain (A.S) Ne
Khud Ko Ek Boond Bhi Pani Na Mil Saka
Karb o Bala Ko Khoon Pilaya Hussain (A.S) Ne
KASE JHUKE GA HAZRAT E ABBAS KA ALAM
KASE ROKE GA HAZRAT E SHABIR KA MATAM
ABHI HM ZINDA HY ABHI HM ZINDA ZINDA HY
S A L A M YA H U S S A I N
KÅRBÅLÅ Sy jo ho k Häwä Aäti hy
Kisi MÅSÖMA k Ronay ki Sädä Aäti hy
Kon Soyä hy kinäre py tere ÑEHR-E- FÜRÄAT
Téri Mitti Sy Abhi tk KHUSHBU-e- WÅFÅ Aäti hy..
( $äläm )
( Hù$$äìñ a.s
*. . .HUSSAIN a.s k zikar sy jo jalta hai..
‘A INSAN’
Insaniyat ki zuban main us ko yazeed kehty hain. . .*
YOm – e – ASHORA Dil mai Gham-e-Hussain [r.a.] hai,
Seena hai Karbala!
Behta hai Meri Aankh sey Pani Furat ka! ;-(
Thori c thakawat pe tu namaz chor deta ha
Ay Musliman
us se kuch seekh jisne jism mein khanjar teer hote huwe b akhri sajda na chora
Salam Hussain (R.A)
NABI alaihi ssalaatu-wa-salaam
ny Frmaya:
Jo Shakhs 10
Muharram ko SHAAM k waqt kisi Rozedaar ko ROZA khulwata hy tou Goya usny Tamam Ummat-e-Muhammadiya alaihi ssalaam ko ROZA iftaar karwaya aur unhain pet bhar kar khana khilaya
(Tanbih-ul-Ghaafileen )
Kon kehta hai, K pani ko tarste the “HUSSAINâ€
~ Un K honton ko, tarsta raha pyasa pani…
~ Selaab dekhta hon,
tu Aata hai yeh ‘Khyal,
K pani bhatak raha hai,
“Talash_e_Hussain†men.
Ankhoun Ke Sahilon Pe Hai ASHKON Ka Hajoom…
Shayad GHAM-E-HUSSAIN Ka Mousam Qareeb Hai…
SALAM YA HUSSAIN…
HUSSAIN YA HUSSAIN… HUSSAIN YA HUSSAIN.