Be-pardgi ka aalam kaisay bataya jaey

Zehrila saanp hai ye

ummat ko das na jaey

Har samt dekh lo ab uryani, be_hayaai

Ghairon se hai muhabbat

apnoun se bewafai.

Behnoun k mashghalon se bhai bhi ba_khabar hen

Poochhen tou kis tarha wo

jab khud idhar udhar hen

Beti bhi laadli hai

parda karay tou kesay

Aangan me apne ghar k

jee ko bharay to kesay

Ye aqal hai maghrib ki

or kaam himaqat k

Lo ho gaey numaaya

aasaar qayamat k.