Hawa Ke Hote Hue Roshnii Toh Kar Jaaye,

Merii Tarah Se Koi Zindagii Toh Kar Jaaye.

Tamam Umar Tasaf Mein He Basar Ho Gii,

Terii Taraf Se Nazar Be’Rukhii Toh Kar Jaaye.

Charag-E-DiLL Tehe Mehrab-E-Jaa’n Na Chorde Gii,

Hawa Ke Saath Koi Dushmani Toh Kar Jaaye.

Phir Is Ke Baad Jaha’n Mein Kahin Panah Nahin,

Tere Huzoor Yeh Jaa’n Sar’Kashi Toh Kar Jaaye.

Woh Dushmani Ke Bhii QabiL Na Mujh Ko Chorde Ga Shakir,

Us Aadmi Se Yeh DiLL Dosti Toh Kar Jaaye…..*/…