Chaak e DaMan Ko Jo Dekha To Mila EID Ka Chaand

Apni Tasveer Kahan Bhool Gaya EID Ka Chaand

Unke Abroey KhaMeeda Ki Tarah Teekha Hai

Apni Aankhon Mein Badi Der Chubha EID Ka Chaand

Door Veeran Basere Mein Diya Ho Jiase

GaM Ki Deewar Se Dekha To Laga EID Ka Chaand

Leke Haalaat Ke Seraon Mein Aa Jaata Hai

Aaj Bhi Halat Ki Rangeen Fiza EID Ka Chaand

Talhiyaan Badh Gayi Jab Zeest Ke PaiMaane Mein

Gholke Dard Ke Maaron Ne Piya EID Ka Chaand

ChashM To Wusat e AflaaQ Mein Khoyi

Dil Ne Ek Aur Jagah Dhoond Liya EID Ka Chaand